Page 37 of 65
Posted: Fri May 20, 2005 12:49 pm
by najma
sara_j wrote:har shaakh-e-gul ko dhoonda, dekhi kali kali mein
lekin teri adayein paayi nahi kisi mein
lekin / mein
kahaaN laa ke mara hay aap ne bhi sara j sahibaaaaaaaaaaaaa!!!!!!!!!!!!
ab aap hi is pe dijiye
koee she,r
mujhe to koee esa yaad naheeN jo
''lekin'' ya '' meiN'' se shuruu, hota ho
:P
Posted: Sat May 21, 2005 1:21 am
by Hashmat Usmani
Posted: Sat May 21, 2005 1:29 am
by najma
sara jeeeeeeeeeeeeeee
ab fil-badee, jo keh sakii keh diya
aur aap par bohat gussa bhi aarahaa hay==========
tamaatar :P
lekin tumhii batao k lik.kheN to kya likheN
tum ne to aazmaane ka Thekaaa hi le liya
najma
Posted: Sat May 21, 2005 1:31 am
by Hashmat Usmani
Posted: Sat May 21, 2005 1:33 am
by najma
aur kya======
sara ki bach,chii daal daal kach,chii
tamaatar
"hamaari"
Posted: Sat May 21, 2005 7:08 am
by Abdullah Nazir
hamaari dousti ne kitne rangeeN gul khilaaye heiN
Miri deewanagi per bhii wo akcar muskuraaye heiN.
iiri/heiN
Posted: Sat May 21, 2005 8:41 am
by najma
yaqeeN mohkam, amal paiham, mohabbata faatah-e-aalam
jihad-e-zindagaanii meiN ye haiN mardoN ki shamsheereN
jihaad/shamsheer
Posted: Sat May 21, 2005 6:08 pm
by najma
sara_j wrote:najma wrote:yaqeeN mohkam, amal paiham, mohabbata faatah-e-aalam
jihad-e-zindagaanii meiN ye haiN mardoN ki shamsheereN
jihaad/shamsheer
mujhe tou nahi milraha koi shair aur filbadeh bhi nahi samjh aa raha so filwaqt to yehi pesh hai:
jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka
lekin Ustad ji ka intezar hai voh zaroor kuch likhdenge :P
to phir aap ne haar maan lii naaaaaaaaa :P
seena-e-sad-chaak kya hoga rafuu
kis tarah unko maiN chara-gar kahooN
bafis ahmad siddiqui
kis/kahooN
Posted: Sun May 22, 2005 8:39 am
by najma
mehfil meiN un kii aaj bhi ham ajnabii se thay
ab aabroo-e-ishq, yahaaN tak chalii gaee
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun May 22, 2005 6:36 pm
by najma
mujhe aarzoo thi siki, wo muqaam aagayaa hay
mire dil kidhakanoN meiN tira naam aagayaa hay
mire/hay
Posted: Mon May 23, 2005 10:15 pm
by najma
khaaN ye martabah mera, ke takleef-e-sharakat dooN
magar mehmaaN hueyhaiN baadshah,akcar faqeeroN ke
magar/ ke/faqeeroN
Posted: Tue May 24, 2005 4:21 am
by najma
chale to kat hi jaeyga safar aahita aahita
-------------------------?
''aahistah''
Posted: Tue May 24, 2005 5:31 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:chale to kat hi jaeyga safar aahita aahita
-------------------------?
''aahistah''
aapkaa she'r na mukammil hai. aur aaKhiri lafz to "aahista" hai magar dusre misr'e kaa pahlaa lafz kia hai?
please aap ise delete kar ke koii nayaa she'r dijiiye. shukria
"aahistah"
Posted: Tue May 24, 2005 10:52 am
by Abdullah Nazir
Aahistah chalte chalte vahaaN aagaye heiN ham
koii bahaanah sunne kii Aadat nahiN rahi.
(koii/rehi)
Nasir.
[/b][/size][/color]
Posted: Tue May 24, 2005 10:58 am
by najma
koee ummed bar naheeN aatii, koee soorat nazar naheeN aatii
maut ka ik din mu,ayyan hay, neen kyuuN raat bhar naheeN aatii
maut/aatii