Page 37 of 43

Javaab

Posted: Tue Sep 12, 2006 1:57 am
by Abdullah Nazir



"oos zulf ke barham houte hee Allah re shaane kee kaavish

ik raat idhar houjaati hei, ik raat udhar houjaati hei".


Shaayer: Behzad Lucknawi


Nazir.


Posted: Tue Sep 12, 2006 2:13 am
by Daanish
soyenge terii aankh ki Khalwat meiN kisi raat
saaye meiN tiri zulf ke jaagenge kisi din--Amjad Islaam Amjad

Posted: Tue Sep 12, 2006 10:14 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maot kee neend chaee jatee hai
keh chuka hooN fasanah-e-Gham kiya?

(Jigar)

Javaab

Posted: Tue Sep 12, 2006 4:50 pm
by Abdullah Nazir



khud-shinaasi meiN din kaTaa saaraa

aankh lagte hee tum nazar aaye.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Re: Javaab

Posted: Wed Sep 13, 2006 1:35 am
by PK Swami
WEBMASTER wrote:


"oos zulf ke barham houte hee Allah re shaane kee kaavish

ik raat idhar houjaati hei, ik raat udhar houjaati hei".


Shaayer: Behzad Lucknawi


Nazir.

Nazir saheb
aadaab.

aap ne bohat achhaa sher share kiyaa hai. shukriyaa.


iss sher ne kaafee puranaa sher yaad dilayaa hai. pesh hai:


bharpoor zawanee meiN jis dam, tayyaar nazar ho jatee hai
phir shiekh.o.biraHman koi ho, har aik ke sar ho jatee hai

cheHre se haTaa kar zulfoN ko, jab vo ek jhaTkaa dete haiN
din miree taraf ho jataa hai, aur raat udhar ho jatee hai !


PK Swami

Posted: Wed Sep 13, 2006 3:03 am
by Daanish
cheHre se haTaa kar zulfoN ko, jab vo ek jhaTkaa dete haiN
din miree taraf ho jataa hai, aur raat udhar ho jatee hai !



muskuraate hu'e chehre se jhhaTakdo zulfeiN
rang-o-anwaar ki barsaat ho veeraane meiN

javaab

Posted: Wed Sep 13, 2006 5:22 pm
by Abdullah Nazir



"oos zulf peh phabti shab-e-daijoor kee soojhi

andhe ko andhere meiN baRi door kee soojhi".





Nazir.


Posted: Thu Sep 14, 2006 4:11 am
by Daanish
zulmat_kade meiN mere shab-e-Gham ka josh hai
ik shama hai daleel-e-seHer so Khumosh hai

Posted: Thu Sep 14, 2006 1:33 pm
by ummassad
teri trikiyan hain paishkhima khushnasibi ka
sitarey kerty hain paishengoi aasmanoun main

Posted: Fri Sep 22, 2006 7:20 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
hameeN khabar hai keh ham haiN charaaGh-e-aakhree shab
hamare ba'd andhera naheeN ujala hai.

z^aheer kashmeree

javaab

Posted: Sat Oct 07, 2006 4:34 pm
by Abdullah Nazir



"raat ke guzarne per aek aur raat aayi

ham tou yeh samajhe thay din nikalne waalaa heii".


Shaayer: Shaahid Siddiqui (Hyd.Deccan)


Nazir.


Posted: Sun Nov 26, 2006 12:45 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]nah shab ko chaand hee achch~a nah din ko meher achch~a

yeh ham pej beet raheeN haiN qiYamateeN kesee?

(U'baed Ullah A'leem)
[/align]

Posted: Sun Nov 26, 2006 9:20 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]ham intezar kareeN ge tira qiyamat tak
khuda kare keh qiyamat ho aor tu aaYe!
[/align]

javaab

Posted: Mon Nov 27, 2006 8:35 am
by Abdullah Nazir


"hazarouN khwaahisheN aisi ke her khwaahis peh dam ninkle

bahut nikle mire armaan lekin phir bhee kam nikle".


Shaayer: Ghalib


Nazir.


Posted: Tue Nov 28, 2006 5:56 am
by hassan_bashir
insaaN kee KhvaahishoN kee koee intehaa naheeN
do Ghaz zameeN bhii chaahiye do Ghaz qafan ke baad