Page 38 of 44

Posted: Sun Jun 17, 2007 3:55 pm
by zmufti
yeh kon phir se inhiiN rastoN meN choR gaya
abhee abhee to azab-e-safar se nikla thaa

Posted: Sun Jun 17, 2007 4:05 pm
by ummassad
humne seekha hi nahi.n shikwey shikayat kerna.
hum tu dagoun ko bhi seeney main saja letey hain.

Posted: Fri Jun 22, 2007 9:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
koee aesaa ehl-e-dil ho jo fasanah-e-muHabbat
maiN use sunaa ke rooN woh mujhe sunaa ke roe!

Saef ud deen Saef

Posted: Sat Jun 23, 2007 11:36 pm
by ummassad
ter damani pe shek hamarey na jaiye
daaman nichoor dain tu farishtey wazu karain.

Posted: Sun Jun 24, 2007 11:22 pm
by RAUSHNEE
sara_j wrote:muhabbat teri kyaa teri wafa kyaa

zara phir tou kaho tumne kaha kyaa


bay nayazi had say guzree banda parwar kub talak

ham kahain gay hal-e-dil aur ap farmayein gay KIA

Posted: Mon Jun 25, 2007 1:15 am
by Hashmat Usmani
Welcome Raush, :salaam2: :rose

lataafat be-kasaafat jalva paida kar nahiiN saktii
chaman zangaar hai aaiina-e-baad-e-bahaarii kaa
Hareef-e-joshishe-daryaa nahiiN Khud_daarii-e-saaHil
jahaaN saaqii ho to baatil hai da'va hoshiyaarii kaa


Ghalib

Posted: Mon Jun 25, 2007 5:12 am
by Ibn-e-siddique
mire ash'aar ae Iqbaal kyuN pyaare na hoN mujh ko
mire TooTay hue dil ke ye dard.angaiz naale haiN

Posted: Tue Jun 26, 2007 6:50 pm
by zmufti
ye kah kar diye merii qismat meN naale
tumhaarii amaanat tumhaare havaale

Posted: Sun Jul 08, 2007 8:45 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiN go rahaa raheen-e-sitam haae rooZgaar
lekin tere kheyaal se Ghaafil naheeN rahaa!

MirZa Ghalib!

Posted: Mon Jul 09, 2007 11:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiN ne rokaa bhee naheeN aor woh TeHraa bhee naheeN
Haadicah kiyaa thaa jise dil ne bhulaya bhee naheeN!!

Posted: Wed Jul 11, 2007 9:11 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kitaab-e-u'mr kaa ek baab khatm huwaa
shabaab khatm huwaa ek e'zaab khatm huwaa!

(Muneer Neyazi)

Posted: Thu Jul 12, 2007 2:55 pm
by zmufti
kiyoN ro rahe ho raah ke andhe charaagh ko
kyaa bujh gayaa hawa se laho ka sharaar bhee

Posted: Sat Jul 14, 2007 7:20 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiN to samjhaa thaa keh laoT aate haiN jane wale
tune jaa kar to judaee meree qismat kar dee!

Ahmad Nadeem Qasami

Posted: Mon Jul 16, 2007 11:08 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
shukr hai us ne be wafaee kee
maiN kaRe imteHaan se niklaa!

Muneer Neyazi

Posted: Wed Jul 18, 2007 9:48 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ujale apnee yadooN ke hamare paas rehne do
najane kis galee meN Zindagee kee shaam ho jaae!