Page 38 of 65
"maut"
Posted: Tue May 24, 2005 11:05 am
by Abdullah Nazir
Maut aajaye tou behtar hei qaraar aayegaa
kab talak sunte raheN Heele Hawaale un ke.
(kab / kle)
Nasir.
[/b][/size][/color]
Posted: Tue May 24, 2005 12:14 pm
by najma
kab tak rahay NAFIS taGhazzuk ye saaz-gaar
mish,al yehi hay wus,at-e-afkaar ke liye
nafis ahmad siddiqui
mish,al/liye
mish'al
Posted: Tue May 24, 2005 3:42 pm
by Abdullah Nazir
mish'al-e-raah-e-muHabbat ko bujhaate kiyooN hou
her qadam per mujhe majboor banaate kiyuN hou.
(her/hou)
Nazir.
Posted: Tue May 24, 2005 7:33 pm
by najma
har har qadam pe jis ne diye haiN hazaar Gham
us fitna-gar ko bhool na jaaoN, to kya karooN
najma
"hijr"
Posted: Thu May 26, 2005 3:27 am
by Abdullah Nazir
jijr kii shab tou wo maah rukh tou milaa nah mujhse kisi TaraH
miraa dil fasarurdah rahaa bahut miri aankh se thaa ravaan luhoo.
"wao"
Nazir.[/i]
laakh
Posted: Thu May 26, 2005 3:51 am
by Abdullah Nazir
laakh samjhaooN magar tum nah kabhi maanouge
yooN hii takraar meiN yeh raat guzar jaayegi.
yooN / jaaegi
Nazir.
Posted: Thu May 26, 2005 5:06 am
by Hashmat Usmani
yuuN unkii bazm-e-KhaamoshiyoN ne kaam kiyaa
sab ne merii muHabbat kaa ehtaraam kiyaa
Sa'eed Raahii
SAB / KIYAA
Posted: Thu May 26, 2005 8:59 am
by najma
sab kuch khudaa se maang liya tujh ko maangkar
uThte naheeN haiN haath mire, is duaa ke ba,d
uThte/ba,d
Posted: Thu May 26, 2005 11:55 am
by najma
wo to unka zarf tha, aur ye hamara hauslah
zulm wo karte rahay, ham marhaba kehte rahay
najma
zulm/rahay
Posted: Thu May 26, 2005 9:02 pm
by najma
thii aaas hameN jin se , wohii ehd meiN apne
karte haiN inhiraaf, baRee bhool hogaee
karte/hogaee
Posted: Sat May 28, 2005 3:37 am
by Hashmat Usmani
thaa muste'aar Husn se uske jo nuur thaa
Khurshiid meN bhii usii kaa zarraa-e-zahuur thaa
Meer Taqii Meer
Khursheed / thaa
samjhe
Posted: Sun May 29, 2005 8:21 pm
by Abdullah Nazir
samjhe thay uske lab pah nah houngi shikaayateN
zaalim ne ham se wadah kiyaa aur mukar gayaa.
(zaalim / gayaa)
Nazir.
Posted: Sun May 29, 2005 8:28 pm
by najma
gaya, to saath mirii rooh ka dhuwaaN le-kar
khayal-e-yaar ne choRa na saath jeete jee
nafis ahmad siddiqui
Posted: Mon May 30, 2005 9:49 pm
by najma
ye na thi hamari qismat, keh visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte, yehii itizaat hota
agar/hota
Posted: Mon May 30, 2005 10:22 pm
by najma
kabhi kabhi mire dil meiN khayaal aataa hay
keh jaise tujh ko banaya gaya hay mere liye
keh/liye