Page 38 of 43
Javaab
Posted: Wed Nov 29, 2006 3:18 am
by Abdullah Nazir
b]
"mujhko dekh umr kee is khwaab-fizaa manzil meiN
kitne armaanaoN kaa dam ghounT ke bedaar hooN maiN".
Shaayer: (naamaAloom, Hyd.Deccan se)
Nazir.
[/b]
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:35 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:ghazal usne chheRi mujhe saaz dena
zara umr-e-rafta ko aawaaz dena
kaise sukoon paauuN tujhe dekhane ke baad?
ab kyaa Ghazal sunaauuN tujhe dekhane ke baad?!
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]toHfah-e-deed hee ek aesa kh~ilona hai Z^afar
keh yeh de kar koee jab chahe mana le mujh~ ko
(Z^afar iqbal)[/align]
Posted: Wed Dec 06, 2006 10:22 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:
Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar
Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang
maaNg kar tum se khushii looN, mujhe manzoor naheeN
kis ka maaNgi huii daulat se, bhalaaaaaa hotaaaaaaa hai
javaab
Posted: Fri Dec 08, 2006 3:36 am
by Abdullah Nazir
daaman-e-yaar hei bheegaa houaa ashkaoN se mire
abr-e-gham jaari hei barsaat kahaaN khatm houee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Dec 08, 2006 9:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]naheeN keh Husn hee nirangiYooN meN t^aaq naheeN
junooN bh~ee kh~el raha hai siyasateeN kaesee!!
(U'baed Ullah A'aleem)[/align]
javaab
Posted: Sat Dec 09, 2006 2:51 am
by Abdullah Nazir
darmiyaaN dunyaa uThaadeti hei deewaareN kayee
khwaahish-e-vaSlat meiN qahr-e-naarasaayee dekhiye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]tu apnee aaNkh~oN ke zindaN meN mujh~ ko rehne de
tamaam lazzat-e-aHsaas is qafas meN ha.
(naiyar)[/align]
javaab
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:29 am
by Abdullah Nazir
wo sitamgar hei, kahe jou bhee use kehnaa hou
Pahle alfaaz ko meezaan meiN toule tou sahi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]is shehr meN tera bh~ee koee jurm to ho ga
ilzaam miree zaat peh sare naheeN achch~e!
(sajad kashif)[/align]
javaab
Posted: Wed Dec 13, 2006 1:58 am
by Abdullah Nazir
qaid-e-hastee se rihaayie nahiN mushkil :Nazir:
aek do saal isi qabr meiN soule tou sahee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:33 am
by Abdullah Nazir
zour-e-amvaaj-e-talaaTum se nimaTnaa seekho
muft mil jaaye tou saaHil ko bhee saaHil nah kaho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Dec 15, 2006 11:03 am
by Munawwar
samajhtee hai ye duniyaa keh huaa maiN gharq-e-dariyaa, par
inheeN amwaaj ke markaz meN Saahil mil gayaa mujhko.
Bhaswar Dasgupta Munawwar
Javaab
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:08 pm
by Abdullah Nazir
daaman-e-saaHil peh yeh kis ne kahaa souti hei mauj
sar paTakti hei musalsal raat din routi hei mauj.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
javaab
Posted: Sat Dec 16, 2006 6:16 am
by Abdullah Nazir
kyaa sitam Dhaayaa tiraa girnaa miri aaghoush meiN
tujh ko qaatil kehne waale keh paRe qaatil mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.