Page 39 of 44

Posted: Fri Jul 20, 2007 1:32 pm
by muhammad_19k
ahaahaa!

kyaa zabardast sher paish kiyaa hai aap ne.

shukr hai us ne be wafaee kee
maiN kaRe imteHaan se niklaa!


bohat khoob muzaffar SaaHeb,
----------------------------------------------------------
@topic

apnaa chehraa hi muzayyan ho agar daaghoN se,
aaeenoN se to vazaaHat naheeN maaNgi jaati



-- Muzaffar Waarci --

Posted: Fri Jul 20, 2007 2:20 pm
by balvinder
merii aour uskii nigaahoN ka tasaadum kuchh na poochh
beKhudii meN aaine se aainaa Takraa gayaa

''adam''

Posted: Tue Jul 24, 2007 2:18 am
by ummassad
her aik inse bachata hey apney daamun ko .
chaman main rehke bhi kantoun ki zindagi kiya hey.

Posted: Wed Jul 25, 2007 10:29 am
by balvinder
vo apne taur pe detaa rahaa sazaa mujhko
hazaar baar likhaa aour miTaa diya mujhko

shahid kabiir

Posted: Wed Aug 01, 2007 4:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Zindagee aa jujhe qaatil ke hawale kar dooN
mujh se ab khoon-e-tamanna naheeN dekhaa jataa!

Shakeel Badauni

Posted: Sun Aug 05, 2007 1:43 pm
by balvinder
tujhe sajdoN ke evaz mil na sakii rooh-e-bashar
hamne sir de ke Khudaaii ka bharam jiita hai

sher afzal jafari

Posted: Sun Aug 05, 2007 10:52 pm
by hassan_bashir
duniya ne tajribaat-o-havaadis kee shakl meiN
jo kuchh mujhe diyaa hai voh lauTa rahaa hooN maiN

Posted: Wed Aug 08, 2007 11:23 am
by hassan_bashir
chamak rahii hai jo abr-e-sikhaah meiN bijali,
firaaq meiN yahii naqshaa tha hoo-bahoo mera!

Posted: Thu Aug 09, 2007 10:15 am
by balvinder
abhii kuchh der hai shaayad mere maayoos hone meN
abhii kuchh din fareb-e-rahnumaa ko dekhtaa hooN maiN

sayyad ''zamiir'' jafari

Posted: Sat Aug 11, 2007 4:03 am
by ummassad
tadbeer ke daste zareen se taqdeer darakshan hoti hey.
qhudrat bhi madad fermati hey jeb koshish e insaan hoti hey.

Posted: Mon Aug 13, 2007 12:17 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
tamanna woh tamanna hai jo dil kee dil meN reh gae
jo mar kar bhee nah puree ho use armaan kehte haiN!

Posted: Thu Aug 16, 2007 12:07 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ujale apnee yadooN ke hamare paas rehne do
najane kis galee meN zindagee kee shaam ho jaeY!!

Posted: Sun Aug 19, 2007 9:00 pm
by hassan_bashir
koh-e-anaa kii barf thii donoN jame rahe
jazboN kii tez dhoop se pighla na TU na MAIN

Posted: Mon Aug 20, 2007 9:38 pm
by hassan_bashir
jab tere hukm milaa tark-e-muhabbat kar dii
dil magar us pe voh dhaRkaa k qiyaamat kar dii

Posted: Tue Aug 21, 2007 10:40 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sirf waqtee sukoon miltaa hai
payaas bhujhtee naheeN hai panee se!