Page 39 of 43

Re: javaab

Posted: Sat Dec 16, 2006 7:27 am
by hassan_bashir
WEBMASTER wrote:


kyaa sitam Dhaayaa tiraa girnaa miri aaghoush meiN

tujh ko qaatil kehne waale keh paRe qaatil mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

vahh vahhh, mohtaram, bahuuut khoooob!!! :rose

javaab

Posted: Sun Dec 17, 2006 6:50 am
by Abdullah Nazir



yeh samjh loongaa keh aayeenah thaa maiN TooTgayaa

wo haTaade gaa agar apne muqaabil se mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Mon Dec 18, 2006 11:40 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]

marg-e-majnooN peh a'ql gum hai Mir

kiYa dawane ne maot paaee hai!

(Mir MuHammad Taqi)
[/align]

javaab

Posted: Mon Dec 18, 2006 7:17 pm
by Abdullah Nazir



usi ke dil se poocho aayi jiske ghar peh barbaadee

zubaani baazpursi se muSeebat kam nahiN houti.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Tue Dec 19, 2006 8:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]bistar-e-marg peh hone lagee jeene kee hawas
i'shwah-o-naaz-o-ada kam naheeN janaaN tere!!
(moHtaram Abdullah Nazir SaHib)
[/align]

Posted: Wed Dec 20, 2006 12:38 am
by alwaysalone
Aafat Tu Hai Yeh Naaz Bhee Andaaz Bhee Lekin
Merta Ho'n Main Jis Per Wo Ada Aur Hi Kuch Hai..

Posted: Thu Dec 21, 2006 8:01 am
by hassan_bashir
alwaysalone wrote:Aafat Tu Hai Yeh Naaz Bhee Andaaz Bhee Lekin
Merta Ho'n Main Jis Per Wo Ada Aur Hi Kuch Hai..
ik tum hii nahiiN tanhaa ulfat meiN merii rusvaa,
is sheHr meiN tum jaise divaane hazaaroN haiN!
:grin:

Posted: Sat Dec 23, 2006 12:09 am
by alwaysalone
hassan_bashir wrote:
alwaysalone wrote:Aafat Tu Hai Yeh Naaz Bhee Andaaz Bhee Lekin
Merta Ho'n Main Jis Per Wo Ada Aur Hi Kuch Hai..
ik tum hii nahiiN tanhaa ulfat meiN merii rusvaa,
is sheHr meiN tum jaise divaane hazaaroN haiN!
:grin:
YouN To Saara Shehar Tha Aabaad Ay Shaheen~ Badar..
Waqt Kai Sailaab Ko Piyaara Mera Hi Ghar Laga.. ;/

javaab

Posted: Sat Dec 23, 2006 6:17 am
by Abdullah Nazir



dasht-e-ghurbat meiN bhalaa housh kee baateN kaisi

nah hee daaman kee khabar hei nah girebaaN kee khabar.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Sun Dec 24, 2006 12:04 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]th~ame kiYa deedah-e-girYaaN wat^an kee noHah khuwanee meN
i'badat chashm-e-shae,ir kee hai har dam ba waZ^u rehna!

MuHamad Iqbal
[/align]

Posted: Tue Dec 26, 2006 11:33 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]jab zabt^-e-dard-o-Gham ka sahara nah mil saka
sharmindah apne aap se ae chashm-e-nam huwe!
(Ustad-e-sukhan Abdullah Nazir)[/align]

javaab

Posted: Sun Dec 31, 2006 2:25 pm
by Abdullah Nazir



Ashk bhar aaye yakayak apni Soorat dekhkar

Raftah raftah dhul gayaa :Nazir: ghubaar-e-aayeenah.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Tue Jan 02, 2007 12:19 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center][align=center]
Ashk bhar aaye yakayak apni Soorat dekhkar

Raftah raftah dhul gayaa :Nazir: ghubaar-e-aayeenah.


chamke ga kisee dard ke mare ka muqaddar
behtar hai keh har zawiyah-e-zakhm-e-jigar dekh~

aHsaas ke pardooN se nikal dekh~ta kiya hai
edraak se aage bh~ee to hai tera safar dekh~!

(Kaocar Ja'faree)[/align]

javaab

Posted: Wed Jan 03, 2007 4:42 am
by Abdullah Nazir



khaana-e-dil ko mire Dhaayegaa lekin zaalim
teri taSveer bhee girjaayegi deewaar ke saath
kis ko apnaa kaheN aur kis ko paraayaa samjhen
doust bhee jabke mulavvac huve aghyaar ke saath
souz-e-dil, zakhm-e-jigar, aah o fughaaN, karb-e-nafas
mujhko kyaa kyaa nah milaa qurbat-e-dildaar ke saath.
.

Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Wed Jan 03, 2007 2:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]"khaana-e-dil ko mire Dhaayegaa lekin zaalim
teri taSveer bhee girjaayegi deewaar ke saath
kis ko apnaa kaheN aur kis ko paraayaa samjhen
doust bhee jabke mulavvac huve aghyaar ke saath
souz-e-dil, zakhm-e-jigar, aah o fughaaN, karb-e-nafas
mujhko kyaa kyaa nah milaa qurbat-e-dildaar ke saath"

Shaayer: Abdullah Nazir.

ab ke bich~Ra hai to kuch~ naa shaadmaaN woh bh~ee to hai
dh~oop tum par hee naheeN be sae'ebaaN woh bh~ee to hai!

shikwah-e-bedaad-e-maosam us se keeje bh~ee to kiYa?
kiYa kare woh bh~ee keh zer-e-aasmaaN woh bh~ee to hai?
[/align]