Page 40 of 44

Posted: Mon Aug 27, 2007 1:34 am
by ummassad
apna tu zamane main muklis na koi mounis
dikhlayen kisey jaker tutey hue is dil ko

Posted: Thu Aug 30, 2007 2:37 am
by ummassad
dil ke her zakam se aati hey wafa ki khushboo.
zakam chup jayenge khushboo ko chupaoun kyse.

Posted: Sat Sep 01, 2007 5:24 pm
by ummassad
kitney ghum they jinhain alfaaz ka saahil na mila.
doob ker reh gaiye jazbaat ki gahraai main.

Posted: Tue Sep 04, 2007 9:22 pm
by ummassad
sitam hi kerna , jafa hi kerna, nigha e ulfat kabhi na kerna.
tumhain qhasam hey hamarey ser ki hamarey haq main kami na kerna.

Posted: Fri Sep 07, 2007 9:38 pm
by ummassad
dousroun ke dard ka aahsaas hota hey kisey.
huns diya kertey hain gul shabnum ko roota dekh ker.

Posted: Tue Sep 11, 2007 10:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
tumhare ba'd bhee kuch din hameeN suhane lage
phir us ke ba'd andhere dile jalane lage!

Posted: Mon Sep 17, 2007 11:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Muzaffar nah furqat meN royaa kareeN ge
shab-e-Gham yeh khaa kar qasam dekhte haiN!
(Muzaffar A Muzaffar)
[/align]

Posted: Wed Sep 26, 2007 12:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Muz^affar Haal posheedah rahe gaa kese meHfil meN
lahu Tapkaa rahee hai chashm-e-tar aahistah aahistah!
(Muzaffar A Muzaffar)
[/align]

Posted: Wed Sep 26, 2007 6:08 pm
by ummassad
na ker taqdeer ka shikwa,muqhader aazmata ja.
na der manzil ki doori se qadam aagey badhata ja.

Posted: Sat Sep 29, 2007 12:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]maiN to samjhaa tha keh laoT aate haiN jane wale
tune jaa kar to judaee meree qismat kar dee!
(Nadeem)
[/align]

Posted: Sat Sep 29, 2007 3:17 am
by ummassad
judaee per hi qhaim hey nizam e zindagani bhi.
bicherd jata hey sahil se galey mil mil ke pani bhi.

Posted: Thu Oct 04, 2007 5:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Jigar meN dard ho to aaNkh se aaNsu tapakte haiN
labalab hone wale jaam hee alkcar chalakte haiN

Kaocar NiyaZee marHoom (ATTak KhooR Khaer Aabad Pakistan)
[/align]

Posted: Sun Oct 07, 2007 1:38 am
by ummassad
yaadoun ki bocharoun main jb palkain bhigney lagti hain
kitnee soondhi lagti hey mazi ki ruswai bhi.

Posted: Wed Oct 17, 2007 8:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]maiN to samjhaa thaa keh laoT aate haiN jane wale
tune jaa kar to judaee meree qismat kar dee!

Nadeem Qasmi
[/align]

Posted: Thu Oct 25, 2007 11:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]kitne naokeele lafz^ theY us ke
jaese khanjar chala geyaa koee!

Muzaffar A Muzaffar
[/align]