Page 40 of 43
javaab
Posted: Thu Jan 04, 2007 5:45 am
by Abdullah Nazir
Her koii sehpasandee ki Taraf maayil hei
Warnah her baat maiN gehraayi hei geerayi hei
Jaan letaa hooN lab o lehje se dil kee Haalat
Meri dunyaa se zamaane kee shinaasaayi hei
Jis jagah hou nah khulooS aur muHabbat baaham
Aisi meHfil se bhalaa gosha-e-tanhaayi hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jan 05, 2007 7:18 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
"Her koii sehpasandee ki Taraf maayil hei
Warnah her baat maiN gehraayi hei geerayi hei
Jaan letaa hooN lab o lehje se dil kee Haalat
Meri dunyaa se zamaane kee shinaasaayi hei
Jis jagah hou nah khulooS aur muHabbat baaham
Aisi meHfil se bhalaa gosha-e-tanhaayi hei"
Shaayer: Abdullah Nazir.
mera jawab!
kehta hee raha tujh~ se keh peYare naheeN achch~e
har waqt yeh palkooN peh sitare naheeN achch~e
un hee se to aabad hai yeh sheher-e-muHabbat
kehte ho jinheeN dard ke mare naheeN achch~e
is sheher meN tera bh~ee koee jurm to ho ga
ilzaam mire zaat peh sare naheeN achch~e
aese to parindooN kee yeh hijrat naheeN :kashif:
lagta hai keh maosam ke ishare naheeN achch~e.
sha'ier (Kashif Majeed)[/align]
javaab
Posted: Sat Jan 06, 2007 5:20 am
by Abdullah Nazir
b]
Rah-e-wafaa meiN nah karde gunaahgaar mujhe
Zaraa sanbhaal ke le chal khayaal-e-yaar mujhe
Nah maut bus meiN nah jeene peh ihtiyaar mujhe
kahaaN peh chouRdiyaa tuu ne qalb-e-zaar mujhe
mile heiN ranj o alam go keh be-shumaar mujhe
banaadiyaa hei muHabbat ne pujr-waqaar mujhe
rahaa nah ZabT o taHammul nah hei qaraar mujhe
talaaTum-e-gham hasti ke paar utaar mujhe
bakhere chaahe zamaanah hazaar baar mujhe
maiN tere gaisoo ke maanand hooN saNwaar mujhe
nah jaane kab miri nazaraoN se door houjaaye
"tuu meri jaan hnei kyaa teraa iAtibaar mujhe"
zuhoor-e-fitan-e-Aalam thaa jalvah-e-jaanaaN
isi liye hei qiyaamat kaa intizaar mujhe
kisi kee chashm-e-fusooN-saaz ne kiyaa ruswaa
her aek shakhS samajhtaa hei baadahkhwaar mujhe
maiN aek peR sahi aaj tak hooN saayah figan
khizaaN ko sounp nah de mausam-e-bahaar mujhe
khaTaa hou meri tou le kaam Saaf-goyii se
balaa se guzre tiri baat naagawaar mujhe
nah pooch kaunsi manzil hei tere :Nazir: kee
nah kar khudaa ke liye aur sharmsaar mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:13 pm
by Zee
tu apni baaton se nah kar yun sogawar mujhe
tere liye mai bani hoon tu hi kar pyar muje
tadap de thori aur de thora intezar muje
isi tarah se kiya kar tu beqaraar muje
suna de phir voh sadaa waise hi pukar muje
tu aake jaan e jahan ab zara nikhar muje
bas aik shay se hai matlab sun mere yaar muje
kisi tarah se de de tu ab deedar muje
tu de de gham 0 alam saare ab udhar muje
tere bina tau lage jeevan ik azaar muje
udaas lab hain, bikhray gesoo tu sanwaar muje
surkhru karke tu le chal apne dayaar muje
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:42 pm
by Zee
ae badal de de apni parwaz muje
bularaha door se hai mera dildar muje
javaab
Posted: Sat Jan 06, 2007 6:46 pm
by Abdullah Nazir
taras gayaa tire SeHraa meiN qaTre qaTre ko
kuch itni pyaas thee baahar zabaaN nikal aayi.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:01 am
by Zee
voh tashnagi jo satati rahi hai ab tak tujhe
usse mitane ki khatir ham jal thal kardenge
javaab
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:14 am
by Abdullah Nazir
WaAdah wafaa nah karnaa hougi sirisht lekin
tum jhooT boulte hou kis khoobSoorati se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:24 am
by Zee
jhoot bolen tau tum saza dena
warna mooh maanga enaam de dena
javaab
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:38 am
by Abdullah Nazir
jinko furSat nah thee sahnwarne se
mere dil kaa khayaal kyaa karte.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:47 am
by Zee
pyar karte hain tabhi kehte hain
door ki dosti nahin achi
Posted: Sun Jan 07, 2007 1:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]aek aesa shakhS banta ja raha hooN maiN Munir
jis ne khud par band Husn-o-jaam-o-badah kar liYa.
shae,ir Munir NeYazi[/align]
javaab
Posted: Sun Jan 07, 2007 5:40 pm
by Abdullah Nazir
chaak jab pardah-e-zulmat houaa, yeh bhed khulaa
Teri zulfaoN ne kiyaa kitnaa pareshaaN mujhko
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 9:56 pm
by MAHROO
dekh kar hamko yun voh bekhud howay
liya bosa aur khud hi sharma gaye
Posted: Mon Jan 08, 2007 6:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]mile naz^ar se naz^ar to khumaar aata hai
mua'amlaat pat fit^ree nikh~aar ata hai.
( Abdul Hamid A'dam)[/align]