Page 5 of 6
Posted: Fri May 20, 2005 12:45 pm
by najma
muqabil hay mujh insaan ke ye ehd-e-nau ka aainah
is aaine meiN lekin qadd nazar aataa hay kam mera
khawar
Posted: Sat May 21, 2005 1:11 am
by Hashmat Usmani
kabhii, ai Haqiiqat-e-muntazar! nazar aa libaas-e-majaaz meN!
k hazaaroN sajde taRap rahe haiN terii jabiin-e-niyaaz meN
'allaamah Iqbaal
Posted: Sat May 21, 2005 1:15 am
by najma
badlii haiN nigaaheN logoN ki ye dunya ka hay dastuur
be-mahrii ke pathrao se sheesha-edil hay chakna-chuur
khawar
Posted: Sat May 21, 2005 3:39 am
by Hashmat Usmani
nigaah-e-saaqii-e-naa_mahrbaaN, yeh kia jaane
ki TuuT jaate haiN Khud dil ke saath paimaane
MajrooH Sultanpuri
nigaah
Posted: Sat May 21, 2005 6:30 am
by Abdullah Nazir
Teri nigaah-e-shauq ne wo mai pilaayi hei
saaghar kaa hei khayaal nah paimaanah chaahiye.
Posted: Sat May 21, 2005 6:30 am
by Hashmat Usmani
juz zamiin-e-kuu-e-jaanaaN kuchh nahiiN pesh-e-nigaah
jis kaa darvaaza nazar aayaa sadaa dene lagaa
Saaqib Lucknauwi
NAZAR .NIGHA.
Posted: Thu Dec 01, 2005 9:03 pm
by ummassad
NAZAR KI NAZER MAIN DIA DIL NA ZAR
KI ADNA HAI ZAR PAISH -A-SAHIB NAZAR
NIGHA NAAZ KO ZALIM TARI SHAMSHEER KAHTE HAIN
JO LAGJAI KALIGE SE USE SHAMSHEER KAHTE HAIN
ASAK
Posted: Sun Dec 18, 2005 5:57 pm
by ummassad
MAIN NAZAR SE PIRAHA THA TU YeH DIL NE BAD'DUA DI
TIRA HAATH ZINDAGI BHAR KABHI JAAM TAK NA POHNCHE
Posted: Fri Jan 20, 2006 9:46 pm
by ummassad
jo naqab-b- ruk ulat di tu yh quaid bhi lagadi
utthe her NIGHA lakin koi baam tek na pohncy
Posted: Sat Feb 11, 2006 2:37 am
by Daanish
nigaah woh jo dil meiN paivast ho jaaye
jo choT kha ke palat aaye woh nigaah nahiN --Seemab Akbarabadi
Posted: Mon Feb 13, 2006 10:12 pm
by ummassad
aqabi rooh jb bedar hoti hy zamane main
nazar aati hy unko apni manzil aasmanoon main
Posted: Tue Feb 14, 2006 4:35 pm
by Daanish
chitak rahi hai kisi yaad kali dil meiN
nazar meiN raqs-e-bahaaraaN ki subah-o-shaam liye--Makhdoom Mohiuddin
"nazar"
Posted: Thu Feb 23, 2006 3:00 am
by Abdullah Nazir
muskuraate houe houNTaoN pe nazar paRti hei
kis ne dekhaa hei mire chaak girebaaN ki Taraf.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Sun Feb 26, 2006 6:01 pm
by MAHROO
tumhari mast nazar gar idhar nahin hoti
nashe mein choor faza iss qadr nahin hoti
sahir
"nazar"
Posted: Mon May 15, 2006 12:45 pm
by Abdullah Nazir
nazar aataa nahiN andhaoN ko kuch bhii
koii kehde sitamgar badgumaaN se.
Shaayer: Abdulah Nazir.
Nazir.