Page 5 of 6

Posted: Sat May 21, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
paaoN ke zaKhm haiN farsh-e-gul-e-tar hone tak
raah dushvaar hai aaGhaaz-e-safar hone tak


Himaayat Ali "Shaayar"

Posted: Sat May 21, 2005 2:16 am
by najma
paida huee hay mujh meiN logoN ki barhamii se
ye mo,tadil-mizajii, ye ehtiyaat-e-paiham
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 3:15 am
by Hashmat Usmani
parchhaaiyoN ke shahr kii tanhaaiyaaN na puuchh
apnaa shariik-e-Gham koii apne sivaa na thaa


Mumtaz Rashid

Posted: Sat May 21, 2005 6:19 am
by Hashmat Usmani
phir is andaaz se bahaar aaii
k huye mehr-o-maah tamaashaaii


Ghalib

"pe"

Posted: Sat May 21, 2005 6:24 am
by Abdullah Nazir



Paas nah aaye, baat nah maane
mujko sataaye piyaar jataane



"pe"

Posted: Sat May 21, 2005 6:36 am
by Abdullah Nazir



Pahle tou chasm-e-naaz se makhmoor kardiyaa

phir bekhudi se manA kiyee jaarahe hou tum.



Posted: Sat May 21, 2005 6:39 am
by Hashmat Usmani
pech rakhte ho bahot saaj-o-dastaar ke biich
maiN ne sar girte huye dekhe haiN baazaar ke biich


AHmad Faraaz

Posted: Sat May 21, 2005 8:47 am
by najma
patte naey aaeingy phir sookhe darakhtoN meiN
kuch log bayabaaN meiN iss aas pe baiThay haiN
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 5:43 pm
by najma
purane saathiyoN meiN phir se jaaooN maiN kyuuNkar?
keh un se qat,e ta,alluq kiyaa thaa tere liye
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 6:04 pm
by najma
phir alfaaz meiN rang-e-taaceer jaage
ham-aahang hone lage harf-o-lehjah
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 7:22 pm
by zmufti
paivand rah-e-kooca-i-zar chashm ghazalaN
pabos-e-hawis afsar-e-shamshad qadaN hai

Posted: Sat May 21, 2005 7:26 pm
by najma
phool sa mukhRa kahaaN se laaooN maiN
dhuul se raahoN ka chehra att gaya

Posted: Tue Jan 10, 2006 9:35 pm
by ummassad
phaale huye haatoun ko hiqarat se nh dekho
her shaks ki chookhat pe gadager nahi hota

Posted: Tue Jan 10, 2006 9:39 pm
by ummassad
phool ki patti se cutsakta hai heere ka jigar
marde nadan per kalam-e- naram o nazuk beasar

Posted: Thu Feb 09, 2006 5:33 pm
by Daanish
phir muskurake usne jo dekha miri taraf
phir ik zara si aas pe jeena pada mujhe--Safi Aurangabaadi