Page 5 of 5

Posted: Fri Jun 03, 2005 10:39 pm
by najma
kya huey wo din, keh mehv-e-aarzoo thay husn-o-ishq
rabt tha donoN meiN, go rabt-e-shinasaaee na thaa
hasrat

asak

Posted: Mon Dec 12, 2005 4:52 pm
by ummassad
ye aarzu-e-deed thi ke baad -e- marg bhi
aankhain hui hain tere intizar main

aarzoo

Posted: Sun Jul 23, 2006 3:02 am
by Abdullah Nazir



raah-e-ulfat meiN jale yooN dard o gham kee dhoop meiN

iltifaat-e-yaar kee bhee aarzoo baaqi nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 05, 2006 4:53 am
by ummassad
vo AARZU.e.deed thi kh baad.e.merg bhi
aankhain khuli hui hain terey intizar main

Posted: Thu Aug 10, 2006 1:12 pm
by Daanish
dilam sooKht, tanam sooKht, ustaKhwaanam sooKth
tamaam sooKhtam wa sooKhtan aarzoo baaqiist

(mera dil jal gaya, jism jal gaya, haDDiyaaN jal gayiiN
mukammal jal gaya huN magar jalne ki aarzoo baaqui hai)

Posted: Mon Aug 21, 2006 3:35 pm
by Daanish
'aarzoo'

Khwaahish-e-Hoor hai 'Ghaafil' na hawas jannat ki
aarzoo hai ke na ho kuchh bhi tamanna hum ko--'Ghaafil'

Posted: Tue Aug 22, 2006 5:11 am
by Daanish
'aarzoo'


aarzoo-e-vasl meiN ho jayega apna visaal
hijr hi meiN zindagi ke din basar ho jayenge--Amaanat

Posted: Thu Aug 24, 2006 5:23 pm
by PK Swami
hai husool.e aarzoo kaa naam tark.e aarzoo
maine duniyaa choR dee to mil gayee duniyaa mujhe !



PK Swami

Posted: Mon Aug 28, 2006 12:08 pm
by Daanish
'aarzoo'

tiri aarzoo ho agar aarzoo ho
yahi aarzoo hai agar aarzoo hai
--NaasiKh