Page 5 of 9

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:29 am
by Hashmat Usmani
tere Khush_buu meN base Khat maiN jalaataa kaise?
jinko duniyaa kii nigaahoN se chhupaaye rakhaa
jinko ik 'umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jinko, jinheN iimaan banaaye rakhaa


Rajendranaath "Rahbar"

Posted: Sun Jun 05, 2005 2:34 am
by najma
tirii chashm-e-fasooN-gar ne kiya, kya jane kya jaaduu
tira kalmah wohii paRhte haiN, jo allaah waale haiN
daGh

Posted: Sun Jun 05, 2005 4:26 am
by Hashmat Usmani
taRapte haiN, na rote haiN, na ham faryaad karte haiN
sanam kii yaad meN har_dam Khudaa ko yaad karte haiN


Haidar Ali "Aatish"

Posted: Sun Jun 05, 2005 5:53 am
by Hashmat Usmani
teraa, meraa jhagRaa kia, jab ik aaNgan kii miTTii hai
apne badan ko dekh le chhuu kar, mere badan kii miTTii hai


Sardar Anjum

Posted: Sun Jun 05, 2005 5:54 am
by Hashmat Usmani
teraa, meraa jhagRaa kia, jab ik aaNgan kii miTTii hai
apne badan ko dekh le chhuu kar, mere badan kii miTTii hai


Sardar Anjum

Posted: Sun Jun 05, 2005 6:05 am
by Hashmat Usmani
teraa, meraa jhagRaa kia, jab ik aaNgan kii miTTii hai
apne badan ko dekh le chhuu kar, mere badan kii miTTii hai


Sardar Anjum

Posted: Sun Jun 05, 2005 10:51 am
by najma
taiy hoNgay kis-tarah yeh maraaHil, kahaa na jaaey
is teergii meiN kyaa hay muqaabil, kahaa na jaaey

Posted: Sun Jun 05, 2005 11:04 am
by Mahtab Qadr
Mohatrama Najma ji is sher ki ibtida tay se nahi toye se ho rahi hai.
sauti aitebaar se to theek hai, magar jab ham har harf ke ashaar juda juda jama kar rahe hoN to mere khyal se isay toye ke ashaar mai rakha jaana chahiye.

taiy hoNgay kis-tarah yeh maraaHil, kahaa na jaaey
is teergii meiN kyaa hay muqaabil, kahaa na jaaey

shukria

Posted: Sun Jun 05, 2005 11:09 am
by najma
thii aabloN ko bohat zidd, keh phooT phooT paReiN
bas ek kaaNTaa chubhoya gayaa naheeN ham se

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:27 am
by najma
tishnagii, tishnagii, aray taubah
qatre qatre ko ham taraste haiN
saghar siddiqui

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:46 am
by najma
talkhii-e-dar hi muqaddar thii
jam-e-ishrat hameN ataa na hua
saghar

"te"

Posted: Mon Jun 06, 2005 1:11 pm
by Abdullah Nazir



tamannay-e-viSaal-e-yaar ne wo gham diye mujhko

mii dunyaa micaal-e-sulf-e-barham houti jaati hei.



Nazir.


Posted: Mon Jun 06, 2005 2:04 pm
by najma
tuu badaltaa hay to be-shaakhtah merii aaNkheN
apne haathoN ki lakeeroN se ulajh jaatii haiN
p.shalir

Posted: Mon Jun 06, 2005 10:57 pm
by shahnaz zafar
tamanna meri jaz o dil ban gaii hai
na aaney ke qabil na jaaney ke qabil

Posted: Mon Jun 06, 2005 11:03 pm
by najma
teri mehfil bhi gayi chahnay waley bhi gaye
shab ki aahieN bhi gayieN subah kay naalay bhi gaye