Page 5 of 17
Posted: Fri Aug 12, 2005 12:38 am
by RAUSHNEE
uTTho merii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa do
Khaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do
Posted: Wed Aug 17, 2005 12:07 pm
by Shummu
itne mukhlis bhi na ban jaoo keh pachtana paRe
log aksar ikhlaas ko Thukraa dete hain
sabaq-aamouz
Posted: Thu Aug 18, 2005 9:34 am
by Abdullah Nazir
"ulajhte hou tum agar dekhte hou aayienah
jou tum se shehr meiN houN aek do tou kiyunkar hou."
======
Nazir.
Posted: Tue Aug 23, 2005 1:43 pm
by Shummu
ghulaami meiN na kaam aati haiN, shamsheereN na tadbeereN
jo ho zauq-e-yaqeeN paida, to kaTT jaati haiN zanjeereN
Posted: Sun Sep 04, 2005 8:53 am
by Shummu
Kisee Ko De Ke Dil Koee Nawaa_sanj-e-fughaan Kyon Ho ?
Na Ho Jab Dil Hee Seene Mein To Fir Munh Mein Zubaan Kyon
Posted: Thu Sep 15, 2005 7:53 am
by hassan_bashir
ghar se masjid hai bohat door chalo yuuN kar leN
kisee rote hue bachche ko haNsaaya jaaye
Posted: Tue Sep 20, 2005 8:36 pm
by Shummu
Dosti jub kisi se kii jaaye
Dushmanon ki bhi raaye li jaaye
Posted: Wed Sep 21, 2005 12:35 pm
by hassan_bashir
Reit se but na banaa ae mere ache fankaar
Aik lamHe ko Theher, maiN tujhe patthar laa dooN
Posted: Sat Oct 22, 2005 6:56 pm
by Shummu
Badal jaayeiN zameen o AasmaN such bolna hai
TumheiN sood o zayaaN ke darmiyaN such bolna hai
Posted: Fri Oct 28, 2005 11:16 am
by Shummu
himmat na haar main ne ye dekha hai baarha
taareekiyaan jahaan thin wahin noor ho gaya
Posted: Mon Nov 28, 2005 2:23 am
by Hashmat Usmani
dil aaKhir thak haar ke, yaaro! ham ne bhii tasliim kiyaa
apnii zaat se 'ishq hai sachchaa, baaqii sab afsaane haiN
Asraar Naarvii
ASALAMALIKUM
Posted: Wed Nov 30, 2005 7:31 pm
by ummassad
ANA KI ARD MAIN ITNA NA KHUDKO CHAHO TUM
KE DOUSAROUN KELIYE SIRF NAFRATIAN HI BACHIAN
Posted: Wed Dec 21, 2005 12:59 am
by ummassad
naqal europe ki munasib hai magar yaad rahe
khak main girat-e- qumi na milana harjiz
Posted: Wed Dec 21, 2005 2:16 pm
by ummassad
aqal aati hai bashar ko thokarain khane ke baad
rang lati hai hina pather pe jhis jane ke baad
Posted: Wed Dec 21, 2005 2:19 pm
by ummassad
RAASTI SEEDHI SADAK HAI ISMAIN KUCH KHATKA NAHI
KOI RAHRO AAJ TAK IS RAH MAIN BHATKA NAHI