Page 5 of 5

Posted: Sat May 05, 2007 3:50 am
by ummassad
chand kalian nishah ki chun ker 'mudatoun mahou.e.yaas rehta houn .
tera milna khushi ki baat sahi ; tujh se milker udaas rehta houn.

Posted: Sun Jun 17, 2007 4:37 pm
by ummassad
chalo acha hua kaam aagai dewangi apni .
wager nh hum zamane bhr ko samjhaney kahan jatey.

Posted: Wed Jun 20, 2007 9:47 am
by Ibn-e-siddique
chaara saazoN se alag hai mira me’yaar ke maiN
zakhm khaauN ga to kuch aur sanvar jaauN ga

Posted: Thu Jun 21, 2007 3:54 pm
by zmufti
chaaNd sitaaroN se kyaa puchhuuN kab din mere phirate heN
vo to bechaare Khud heN bhikaarii Dere Dere phirate heN

Posted: Tue Jul 24, 2007 3:01 am
by ummassad
chamen main reh ke veerana mera dil hota jata hey.
khushi main aajkul kuch ghum bhi shamil hotajata hey.

Posted: Sat Aug 11, 2007 4:26 am
by ummassad
chooda hey zindzgi ne yeh kis mood per mujhey.
manzil nahin muqaam nahin rehjuzer nahin.