Page 5 of 5
seen
Posted: Mon Feb 20, 2006 7:46 pm
by Abdullah Nazir
sanjeedagiy-e-ahl-e-wafaa kaam nah aayi
her mouR pah looTaa hei inheN raahzanaoN ne.
Shaayer:Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Feb 20, 2006 8:29 pm
by Jibraan Khalil
sisak rahi heN alamnaak si fizaayeN bhi
diloN meN jaise abhi Khalifshaar baqi hai
Posted: Mon Feb 20, 2006 9:09 pm
by ummassad
such kahdoon ay brahmen ger tu bura na mane
tere sanamkade ke boot ho jye purane
Posted: Mon Feb 20, 2006 9:13 pm
by Jibraan Khalil
sun raha hoN meN zaban e aa'm se
hai mujhe nisbat tumhare naam se
' ye ' se
"seen"
Posted: Tue Feb 21, 2006 1:52 am
by Abdullah Nazir
saaz-e-dil bajne lagaa uski karam farmaayi per
jaane kiyuN muddat se aisi faSl-e-gul aayi nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"seen" se
Posted: Tue Feb 21, 2006 12:05 pm
by Abdullah Nazir
sarmaaya-e-Hayaat nah kiyuN souNp dooN tujhe
nikle rah-e-vucooq agar iHtimaal meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"seen"
Posted: Thu Feb 23, 2006 2:21 am
by Abdullah Nazir
souchtaa hooN kyaa qiyaamat aagayi yaa aayegi
baam per aataa hei jab wo maah-e-kaamil ki TaraH.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Sat Aug 26, 2006 2:04 am
by ummassad
sun tu sahi jahan main hey tera fasana kiya
kahti hey tujh ko khalk.e. khuda gayebana kiya.
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:59 am
by Daanish
'seen' se
sunta huN baRe Ghaur se afsaana-e-hasti
kuchh Khwaab hai, kuchh asl hai, kuchh tarz-e-adaa hai
--AsGhar Gondawi