Page 5 of 10

Posted: Fri Aug 25, 2006 12:56 pm
by hassan_bashir
KhuuN hai dil Khaak meiN ahvaal-e-butaaN par, yaanii
unake naaKhun hue mohataaj-e-hinaa mere baad

Posted: Sat Aug 26, 2006 1:26 am
by ummassad
hai aik teer jis main doonoun chidey pedey hain
vo din gaye kh apna dil se jiger juda tha.
(mirza galib)

Posted: Sat Aug 26, 2006 2:54 am
by Daanish
dil

dil se ruKhsat hu'i koi Khwaahish
giryah kuchh besabab nahiN aata--Meer

"dil"

Posted: Sat Aug 26, 2006 3:25 am
by Abdullah Nazir



keh rahaa thaa maiN khulooS-e-dil se apni daastaaN

haaye kyaa souchaa thaa, mujhko loag kyaa samjhaa kiye.


Shaayer: Abdullah Nazir..


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 3:33 am
by Daanish
'dil'

Khushaa woh dil! ke rahe jis meiN aarzoo teri
Khushaa dimaaGh! jisay taazah rakhhe buu teri
Hyder Ali Aatish

"dil"

Posted: Sat Aug 26, 2006 3:38 am
by Abdullah Nazir



dil hei uskaa jou kisi gham se nah ghabraa jaaye

jaan uski hei jise paas-e-shikebaayi hou.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 3:42 am
by Daanish
dil

woh nigaaheN kyoN hui jaati haiN ya rab! dil ke paar
jo miri kotaahi-e-qismat se miZhgaaN ho gayiiN--Ghalib

"dil"

Posted: Sat Aug 26, 2006 3:49 am
by Abdullah Nazir



jahaaN ham khaimah-zan heiN raaHat-e-dil ke liye :Nazir:

wahaaN mausam nahiN achchaa, hawaa kuch aur kehti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 3:51 am
by Daanish
dil

dil apni talab meiN saadiq thha, ghhabra ke suu-e-matloob gaya
dariya se yeh moti niklaa thha, dariya hi meiN jaa kar Doob gaya
--Shaad Azeemabadi

"dil"

Posted: Sat Aug 26, 2006 4:04 am
by Abdullah Nazir



ashAar kaa sahaaraa bhee kaafi nahiN mujhe

jou dil meiN gham kaa shoAlah hei baahar nah aayegaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 3:32 pm
by Daanish

dil

shauq ko yeh lat ke har dam naala khiinche jaaiye
dil ki woh Haalat ke dum lene se ghhabraa jaaye hai--Ghalib

dil

Posted: Sat Aug 26, 2006 3:41 pm
by Abdullah Nazir



wo doust kyaa hei jo rasm-e-ulfat samajh nah paaye

sitam kiye jaaye, dil kee Haalat samajh nah paaye.


Shaayer: Abdullah Nazir..


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 6:20 pm
by PK Swami
saqee suboo ba.dosh hai,ai zoq.e tishnakaam
dast.e talab meiN himmat.e rindanaa chaHiye

faiz.e tapish se khud nikal aayeNge baal.o.par
haaN ! dil meiN be.qaraar.ie parwanaa chaHiye !!



PK Swami

Posted: Sun Aug 27, 2006 2:43 am
by Daanish
'dil'

dil-e-muztar se poochh, ai raunaq-e-bazm
maiN Khud aaya nahiN, laaya gaya huN
--Shaad Azeemabadi

il

Posted: Sun Aug 27, 2006 1:23 pm
by Abdullah Nazir



dasht-e-ghurbat meiN nah chaiR ai hamsafar gulshan kee baat

zikr-e-faSl-e-gul se zakhm-e-dil kaheeN taazah nah hou.


Shaayer: Abdullah Nazir..


Nazir.