Page 5 of 8

Posted: Mon Jan 15, 2007 8:20 am
by balvinder
aj voh din hai ki ik saaqee ke dast-e-khaas se
pee aour itnee pee ki main haqdaar-e-kausar ho gayaa

aazaad ansaaree

sharaab

Posted: Tue Jan 16, 2007 5:27 am
by Abdullah Nazir



daroon-e-pardah jamaal-e-shabaab kaafi hei

sharaab gar nahiN jaam-e-sharaab kaafi hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Tue Jan 16, 2007 6:12 am
by hassan_bashir
chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiiN
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahiiN

Posted: Tue Jan 16, 2007 6:23 am
by hassan_bashir
shiishaa rahe baGhal meiN jaam-e-sharaab lab par
saaqii yahii mazaa hai do din kii zindagii meiN

sharaab

Posted: Tue Jan 16, 2007 6:25 am
by Abdullah Nazir



"mujh mast ko bahaar meiN hei aarzoo yehi

daryaa dili se saaqi kee tairooN sharaab meiN"


Shaayer: Haider Ali :aatish:



Nazir.


Posted: Tue Jan 16, 2007 3:12 pm
by balvinder
ek-do saaghar se kyaa hotaa hai, ham to khum ke khum
baith kar saaqee ke sab jaanoo-b-jaanoo pee gaye

bahadur shaah ''zafar''

Posted: Wed Jan 17, 2007 2:33 pm
by hassan_bashir
ruuh kis mast kii pyaasii gaii maiKhaane se
mai uRii jaatii hai saaqii tere paimaane se

mai

Posted: Wed Jan 17, 2007 4:05 pm
by Abdullah Nazir



saaqyaa kiyuN nah tire rindaoN peh khul kar barse

mai-e-angoor ko aakhir koii kab tak tarse.


Shaayer: Abdullah Nazir.:



Nazir.


Posted: Thu Jan 18, 2007 12:41 pm
by balvinder
hai ye tamannaa mere jee mein yoo'n tujhe dekhoo'n baada-kashee mein
haath mein saaghar, bar mein meenaa, sar par turraa, haar gale mein

shaah ''naseer''

"sharaab"

Posted: Thu Jan 18, 2007 5:59 pm
by Abdullah Nazir



"piyhoongasa aaj saaqi sair houkar

moyassar phir sharaab aaye nah aaye".


Shaayer: Daagh



Nazir.


Posted: Fri Jan 19, 2007 12:37 pm
by balvinder
baad-e-tauba, aatish-e-saiyaal-o-khum
mere ghar se ho ke paanee jaayegee


''riyaz'' khairabadi

mai

Posted: Fri Jan 19, 2007 5:31 pm
by Abdullah Nazir



saaghar-e-mai Dhoondte phirte hou maikhaane meiN tum

itne paagal hou bhalaa saaqi ko kyaa maAloom thaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Jan 20, 2007 6:40 am
by balvinder
zaahid ! fir ek baar jahannum ka zikr chherh
fir ehtmaam-e-saaghar-o-meenaa kareinge ham

gopal mittal

mai

Posted: Sat Jan 20, 2007 8:31 am
by Abdullah Nazir



pee chukaa hooN mai-e-gulgooN tou sukooN kee khaaTir

aatish-e-furqat-e-jaanaaN ko bujhaaooN kaise.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


mai

Posted: Mon Jan 22, 2007 4:15 am
by Abdullah Nazir



saaqiyaa ik nag'ah-e-luTf o karam kaafee hei

Hasrat-e-mai hei nah ab Hasrat-e-paimaanah mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.