Page 5 of 65

Posted: Sun Jan 16, 2005 11:53 am
by Ibn-e-siddique
nahin ke mujh ko qayaamat ka ai'tiqaad nahiN
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa zyaad nahiN


shab / nahiN

Posted: Sun Jan 16, 2005 3:19 pm
by Hashmat Usmani
nahiiN

nahiiN ma'loom kis kis ka lahoo paanii huaa hogaa
qayaamat hai sarishk aalooda honaa terii mizgaN kaa?


Ghaalib

lafze-e-"qayaamat" ya lafz-e-"kaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Sun Jan 16, 2005 10:32 pm
by Ibn-e-siddique
qayaamat yaqeenan qareeb aa rahi hai
khumar ab to masjid meiN jaane lage haiN

khumar / haiN

Posted: Mon Jan 17, 2005 12:20 am
by Hashmat Usmani
nahiiN

nahiiN, ki mujhko qayaamat kaa ai'teqaad nahiiN
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa ziyaad nahiiN?


Ghaalib

lafze-e-"shab" ya lafz-e-"nahiiN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Mon Jan 17, 2005 5:00 am
by Ibn-e-siddique
nahin tera nasheman qasr-e-sultaani ke gunbad per
tu shaaheeN hai basera ker pahaaRoN ki chaTTaanoN meiN


tu / meiN

Posted: Mon Jan 17, 2005 5:20 am
by Hashmat Usmani
tu

tu aur soo-e-Ghai'r nazar_haa-e-tez_tez!
maiN aur dukh tirii mizah_haa-e-daraaz kaa?


Ghaalib

lafze-e-"maiN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Wed Jan 19, 2005 12:01 am
by Ibn-e-siddique
tum maah-e-shab-e-chaar dahum the mere ghar ke
kyuN phir na rahaa ghar ka wo naqsha koii din aur


kyuN / aur

Posted: Fri Jan 21, 2005 11:28 am
by Shummu
Mujhko haathoN ki lakeeroN meiN na uljhaao yaaro!
MaiN hoon tadbeer se taqdeer badalne waala

(iqbal)


MaiN/Waala

aarzoo

Posted: Fri Jan 21, 2005 4:54 pm
by Mahtab Qadr
sara_j wrote:main aarzuu-e-jaaN likhuuN yaa jaan-e-aarzuu

tuu hii bataade naaz se iimaan-e-aarzuu


tuu hi / aarzu
tuu hi bataade naazneeN ye kaun naaz hai
tujh par khula ye kaise mire dil ka raaz hai (mazahiya filbadeeh)

Posted: Tue Jan 25, 2005 12:31 pm
by Shummu
tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii


lafz/dii

di

Posted: Tue Jan 25, 2005 7:31 pm
by Mahtab Qadr
Shummu wrote:tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii


lafz/dii
di mujhe us ne mohabbat ke ewaz mai nafrat
mai khareedar raha,phir bhi khasaare mai raha

khasaara

Posted: Thu Jan 27, 2005 4:43 am
by Ibn-e-siddique
rahaa ghar koii taa qayaamat salaamat
phir ik roz marna hai hazrat salaamat

phir / salaamat

Posted: Thu Jan 27, 2005 4:56 am
by Hashmat Usmani
phir

phir vohii shaam. vohii Gham, vohii tanhaaii hai
dil ko taRpaane terii yaad chalii aaii hai?


Ghaalib

lafze-e-"dil" ya lafz-e-"hai" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Thu Jan 27, 2005 11:39 am
by Ibn-e-siddique
hai mujh per taa'na zan khud mera aHsaas
tamanna apni qeemat ko rahi hai


tamanna / hai

Posted: Thu Jan 27, 2005 11:46 am
by Shummu
tamannaa dard-e-dil kii ho to kar Khidamat faqiiro.n kii
nahii.n miltaa ye gauhar baadashaaho.n ke Khaziino.n me.n

nahin/meiN