Page 5 of 43

Posted: Fri Apr 22, 2005 4:32 am
by Hashmat Usmani
Gham kii andherii raat meN, dil ko na be_qaraar kar
subHa zaroor aayegii, subHa kaa intezaar kar

Posted: Fri Apr 22, 2005 12:42 pm
by Aanchal
omar-e-draaz maang kay laye they chaar din
doo arzoo main kat gay doo intazaar main :roll:

Posted: Fri Apr 22, 2005 12:52 pm
by Hashmat Usmani
aap kii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar


MaKhdoom MoHiiuddiin

Posted: Fri Apr 22, 2005 11:13 pm
by najma
raat bhar sooraj kisi ke sir pe mandlaata raha
din meiN taare dekhne ki rasm dohraaee gaee
najma

Posted: Sat Apr 23, 2005 2:35 am
by Hashmat Usmani
zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa


JaaN Nisaar "AKhtar"

Posted: Sat Apr 23, 2005 7:49 pm
by najma
apne haathoN se nasheeman ko jala dete haiN
hausla seekhe koee khaanmaaN-barbaadoN se
najma

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:08 am
by Hashmat Usmani
maiN to Khud_daarii kaa qaa'il huuN, magar
kia karuuN phir aa rahii hai unkii yaad


Shakeel Badaayuunii

Posted: Sun Apr 24, 2005 2:17 am
by najma
yaad aey gii unko tab merii
jab koee or-na hamsafar hogii
najma

Posted: Sun Apr 24, 2005 2:29 am
by Hashmat Usmani
Khudaayaa! Jazba-e-dil kii magar taasiir ulTii hai
k jitnaa khiiiiiNchtaa huuN, aur khiNchataa jaaye hai mujh se


Ghaalib

Posted: Sun Apr 24, 2005 11:35 am
by najma
ham ne to chaahaa tha, un se mud,da,aa kardeN bayaaN
lafz kuch aaey zabaaN par, aur aa kar reh gaey
najma

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:26 am
by Hashmat Usmani
laboN se lab jo mil gaye, laboN se lab jo sil gaye
sawaal gum, jawaab gum, baRii Hasiin raat thii


Sudarshan "Faakir"

Posted: Mon Apr 25, 2005 2:12 am
by najma
LAHUU KE DEEP JALAAO, SIYAAH RAAT KATE
BUJHII BUJHII HAY YAHAAN MEHFIL-E-TARAB KAB SE

Posted: Mon Apr 25, 2005 3:44 am
by Hashmat Usmani
charaaGh dil ke jalaao k 'iid kaa din hai
taraane jhuum ke gaao k 'iid kaa din hai


Qateel Shifaaii

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:11 pm
by najma
eid bhi aaee to kis haal meiN aaee hay NAFEES!
pairahan chaak liye phirte haiN weeraanoN meiN
NAFIS AHMAD SIDDIQUI

Posted: Tue Apr 26, 2005 1:20 am
by Hashmat Usmani
'Eid kaa din hai, gale aaj to lag jaa, zaalim!
rasm-e-duniyaa bhii hai, mauq'a bhii hai, dastuur bhii hai


[naa_ma'loom]