Page 5 of 6
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:00 pm
by Abdullah Nazir
Kyaa chalaa jaaooN maiN zkhakhm-e-dil ko hanstaa chouRkar
yaa tire haathaoN meiN marham hei lagaane ke liye?
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:05 pm
by najma
kal mujhe jis ne zakhm bakh,she thay
aaj uskii bhi chashm tar hogii
najma
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:13 pm
by Abdullah Nazir
hazaar zakhm sahungaa tiri muHabbat meiN
mujhe shikast-e-wafaa mehrbaaN qubool nahiN.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:17 pm
by najma
har har qadam pe jis ne diye zakhm be-shumaar
us fitna-gar ko bhool na jaaoN to kya karooN
najma
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:25 pm
by Abdullah Nazir
Kehne ko tap-e-zakhm-e-jigar kam tou nahiN hei
Aiy bhoolne waale tuu mire dil meiN makeeN hei.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:32 pm
by najma
shor-e-pind-e-naaseh ne zakhm par namak chiRka
aap se koee pooche, tum ne kya maza paayaa
ghalib
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:39 pm
by Abdullah Nazir
Kisko thii apne zakhm maTloob bedilii
Tere namak chiRakne se dunyaa badal gaii.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:41 pm
by najma
teiGh-e-abroo ke saamne jaa-kar
zakhm munh par jawaan khaate haiN
barq
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:48 pm
by Abdullah Nazir
zakhm khaate heiN apne seenaoN per
apnaa moNh pher kar nahiN jaate.
Nazir.
Posted: Thu Apr 14, 2005 4:34 am
by Hashmat Usmani
DhuuNDaa hai agar zaKhm-e-tamannaa ne madaavaa
ik nargis-e-biimaar kii baat aa hii gaii hai
Posted: Thu Apr 14, 2005 8:59 am
by najma
hamare zakhm kahaaN tak siyo gay, chara-garo!
bahaar aate hi khil jaeiNgay kalii ki tarah
Posted: Thu Apr 14, 2005 11:22 am
by Hashmat Usmani
gar yahii hai hameshaa zaKhm pe zaKhm
dil kaa, chaara_garo! Khudaa Haafiz!!
Bahaadur Shaah "Zafar"
Posted: Thu Apr 14, 2005 11:42 am
by Hashmat Usmani
lab sii diye haiN taa na shikaayat kare koii
lekin, har ek zaKhm ke muNh meN zabaaN hai aaj
Ali Sardaar Ja'frii
Posted: Thu Apr 14, 2005 10:48 pm
by najma
zakhm-e-dil par kabhi marham bhi shifaa ka rakhna
chara-gar ho to bharam apni dawaa ka rakhna
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:07 am
by Hashmat Usmani
zaKhm pe zaKhm khaa ke jii, apne lahuu ke ghuuNT pii
aah na kar, laboN ko sii, 'ishq hai dil_lagii nahiiN
Ai'Hsaan "Daanish"