Page 5 of 6
"be"
Posted: Sat May 07, 2005 12:13 am
by Abdullah Nazir
bazm-e-junooN meiN naam miraa le ke dekh le
shayad maiN souz-e-zamzama-e-naa-shuneedah hooN.
Nazir.
Posted: Sat May 07, 2005 12:21 am
by najma
badalte waqt kaa ik silsila saa lagtaa hay
keh jab bhii dekho use, doosraa saa lagtaa hai
"be"
Posted: Sat May 07, 2005 12:06 pm
by Abdullah Nazir
Bahisht-e-gulhaay-e-aarzoo ko karegaa sairaab zindagii bhar
dilaoN meiN jou noor hei ujaagar hamaare alfaaz-e-sarmadii se.
Nazir.
Posted: Sat May 07, 2005 12:13 pm
by najma
baRe khuloos se apna liya hay ghar ki tarah
maiN taa-hayaat nazar-band jis qafas meiN rahaa
bakhsh
"be"
Posted: Sun May 08, 2005 12:26 pm
by Abdullah Nazir
bajuz aek yaad-e-raftah, nahiN mer paas kuch bhii
maiN use kahaaN Sadaa dooN, wo mujhe kahaaN pukaare.
Nazir.
Posted: Sun May 08, 2005 6:50 pm
by najma
bas apne maqsad-e-hastii pe rakh nazar:khawar:
naheeN khayal kisi ko tira, khayal na kar
khawar qureshi
Posted: Sun May 08, 2005 9:33 pm
by brainheater
bandagi hum ney chor di Faraz
kiya karein jab log khuda ho jayein
Posted: Sun May 08, 2005 10:19 pm
by najma
baiTha hooN teri yaad ko mehmaaN kiye huey
tanhaaiyyaaN bichaa ke maiN khalwat meiN shaam-e-Gham
khawar qureshi
"be"
Posted: Mon May 09, 2005 4:54 am
by Abdullah Nazir
bewafaa tujh se nahiN hei mujhko furqat kaa gilah
jisqadar doori houii utnii hii qurbat hougaiee.
Nazir.
Posted: Mon May 09, 2005 9:15 am
by najma
baarishoN ki baateN to maslihat ki bateB haiN
pyaas ki zameenoN ko badaloN ne dekha hay
bakhsh
Posted: Mon May 09, 2005 5:03 pm
by brainheater
bachon ke chotey haathon ko chand sitarey cho leney do
chaar kitabein parh ker wo bhi hum jaisey ho jayein gey
Posted: Mon May 09, 2005 5:25 pm
by najma
bas apne maqsad-e-hastii pe rakh nazar:khawar:
naheeN khayal kisi ko tira, khayal na kar
khawar qureshi
Posted: Mon May 09, 2005 5:37 pm
by brainheater
baad muddat ussey dekha logon
wo zara bhi nahin badla logon
Posted: Mon May 09, 2005 5:40 pm
by najma
baa,d muddat ke khile daman-e-ummeed ke phool
der kr baa,d baharoN pe nuikhaar ayaa hay
nafis ahmad siddiqui
"be"
Posted: Tue May 10, 2005 2:12 am
by Abdullah Nazir
be-Hijaabaanah lab-e-baam aagayaa wo maah-rukh
muskuraakar dekhnaa bhii ik museebat hougaii.
Nazir.