Page 5 of 8
Posted: Mon Jan 16, 2006 9:13 pm
by ummassad
meri RAATOUN ki taariki meri qismat ki taariki
sitaare jhilmila kar toot jate hain fizaoun main
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:12 am
by ummassad
aakhir-e-SHAB deed ke qabil thi bismil ki tadap
subha dam koi agar bala-e-baam aaya tu kya
Posted: Thu Feb 09, 2006 3:04 pm
by Daanish
thhe jo rashk-e-qamar jameel-e-shab
aakhirash ho gaye qateel-e-shab
kis qadar hai giraaN, shab-e-hijraaN
hai seher zer-e-paa-e-fiil-e-shab--Daanish
Posted: Sun Feb 12, 2006 2:59 am
by ummassad
gum-e- zindagi teri rah main SHAB-e-aarzu teric cah maim
jo ujd gya wo basa nahi jo bichad gya wo mila nahin
Posted: Sun Feb 12, 2006 11:07 am
by Daanish
tu kahaaN jayegi kuchh apna Thikaana kar le
hum tau kal khwaab-e-adam meiN shab-e-hijraaN honge--Momin
Posted: Mon Feb 13, 2006 10:02 pm
by ummassad
yh khule khule se gesoo yh udi udi si rangat
teri subha kah rahi hy teri raat ka fasaana
Posted: Tue Feb 14, 2006 4:42 pm
by Daanish
shab ke woh majlis feroz-e-khalwath-e-namoos thha
rishta-e-har shama, khaar-e-kaswath-e-fanoos thha--Ghalib
"shab"
Posted: Thu Feb 23, 2006 2:55 am
by Abdullah Nazir
khushboo-e-daaman-e-gul be-aasraa jo karde
houjaaye saans lenaa shaayad muHaal her shab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Mon Aug 28, 2006 4:22 am
by ummassad
kal chouduvien ki RAAT thi SHAB bher raha charcha tera
kuch ney kaha yeh chaand hey kuch ney kaha chera tera
Posted: Mon Aug 28, 2006 8:26 am
by Daanish
fazaa ki aankh bhar aayi, hawa ka rang uRaa
sukoot-e-shaam ne chup ke se tira naam liya
Shaaz Tamkanat
Posted: Wed Aug 30, 2006 9:55 pm
by ummassad
RAAT bher deeda.e.numnak main lehraty rahey
khawwab ki terha se aap aaty rahey jaaty rahey
Posted: Tue Sep 12, 2006 2:42 am
by Daanish
din ka kya zikr teerah_baKhtoN meiN
ek raat aayi, ek raat gayi
--Jigar
Posted: Sat Sep 30, 2006 3:40 am
by ummassad
yaa shab ki saltanat main din ka safeer aaya .
gurbat main aakey chamka gumnaam tha watan main.
shab
Posted: Tue Nov 14, 2006 4:48 am
by Abdullah Nazir
shab-e-furqat navaay-e-gham ko ham ne
Naveed-e-SubH-e-fardaa kardiyaa hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Nov 23, 2006 11:37 am
by praise
ek shaam kisii bazm meiN juute jo kho gaye
ham ne kahaa bataaiiye ghar kaise jaayeNge
kahane lage ke sher sunaate raho yuuN hii
ginate nahiiN banenge abhii itane aayeNge