Page 41 of 44

Posted: Sat Oct 27, 2007 2:11 am
by ummassad
phooloun se badan unkey kantey hain zabanoun main.
pather ke hain darwazey sheeshoun ke makanoun main.

Posted: Thu Nov 01, 2007 10:05 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]waqt kaesaa yeh aageya Az^har
rahzan raastah dikhate haiN.

Zameer Az^ahar
[/align]

Posted: Sun Nov 04, 2007 8:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]dunyaa tere wujood ko kartee rahee talash
ham ne tere kheyaal ko YazdaaN bana liya![/align]

Posted: Sun Nov 11, 2007 5:08 am
by NAZRANA
..

Posted: Sun Nov 11, 2007 1:46 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
JO MUN KO AA RAHI THEE WO LIPTI HAI PAON SAY
BARISH KAY BAAD KHAAK KEE SEERAT BADAL GYE.

SHAIR, HUSSAIN MAJROOH

Posted: Wed Nov 14, 2007 1:57 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Tum nay poch tha hoti hai kaisi ghazal
Ye bhi mushkil sanam aaj hal ho gye
Jab zamany pay likhi fasana bani
Husn teray pay likhi ghazal ho gye

poet: Shabbir Hussain Shehri

Posted: Wed Nov 14, 2007 8:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]phir palaT kar nigeh naheeN aaee
tujh peh Qurbaan ho gaee ho gee!

Saif ud Deen Saif!
[/align]

Posted: Sat Nov 17, 2007 9:09 am
by Atiq-ur-Rehman Saffy
uss say milna hee naheen dil mein tahayya kar lain
wo khud aaye bhi to bohot sard ravayya kar lain
aik hee bar ye ghar rakh ho jaan to chootay
aag agar kam hai to hawa aur muhayya kar lain.

poetess: perven shakir

Posted: Sat Nov 17, 2007 9:12 am
by Atiq-ur-Rehman Saffy
mera pasanda sher

Posted: Sat Nov 17, 2007 1:25 pm
by ahm4me
zindagi ham teray khwaaboN se rahay sharminda
aur tu hay ke sada aaiina khaanay maaNgay

Posted: Sun Nov 18, 2007 7:01 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
dil dharknay ka sabab yaad aaya
woh teri yaad thee ab yaad aaya

din guzara thaa barri mushkil say
phir tera wada-e-shab yaad aaya

poet nasir kazmi

Posted: Tue Nov 20, 2007 11:01 am
by zmufti
koi kaho keh haath qalam kis tarah hue
kiyoN ruk gayyii qalam ki rawani likho

Posted: Sun Nov 25, 2007 12:06 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
...

Posted: Sat Dec 01, 2007 6:47 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
...

Posted: Tue Dec 04, 2007 4:32 pm
by zmufti
[align=center]
تشہیر کے بازار میں اے تازہ خریدار
زیبائشیں مل جائیں گی قامت نہ ملے گی
[/align]