Page 41 of 65
Posted: Thu Jun 16, 2005 8:24 am
by najma
titee nazar k isharoN se khel saktaa hooN
jigar-furoz sharaaroN se khel sakta hooN
saGhar
Posted: Fri Jun 17, 2005 2:58 pm
by najma
jaate huey kisi ne kahaa thaa, ye yaad hay
:najma: mileiNgay phir kabhi, jo zindagii rahii
najma
najma/rahii
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:12 pm
by najma
ham se aaya na gaya
un se bulaya na gaya
un/gaya
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:16 pm
by Mahtab Qadr
ham se jaaya na gaya
un se bhagaaya na gaya
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:20 pm
by najma
Mahtab Qadr wrote:ham se jaaya na gaya
un se bhagaaya na gaya
un/gay
in do me se kisi lafz se shuru karna tha,aap ne =hay=seshurukiya hay.
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:29 pm
by Mahtab Qadr
sher to tafreeh e taba ke taur par likh dia tha magar aap chahti haiN to isi tarah chaliye aap ki baat par amal karte haiN :)
un se bhagaya na gaya
ham se jaaya na gaya.
"ham"
Posted: Fri Jun 17, 2005 10:31 pm
by Abdullah Nazir
ham ko manzil tou kujaa koiee nishaaN tak nah milaa,
qaafilah aaj bhii hei garm-e-safar kyaa keeje.
qaafilah / keeje
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 10:37 pm
by najma
qaflay manzil pe aaa k luT gaey
manzilon k faaslon se poochiye
manzil/ poochiye
manzil
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:05 pm
by Abdullah Nazir
manzil-e-shauq kii jaanib thay ravaaN ham lekin
raahbar jis ko samajhte thay wo rehzan niklaa.
raahbar / niklaa
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:17 pm
by najma
rah-bar samajh liya hay tuje, gard-e-karawaaN!
chalte raheN gay ham bhi, jahaaN tak Ghubaar hay
najma
chalte/hay
"chalte"
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:34 pm
by Abdullah Nazir
chalte rahenge jaanib-e-mazil hameshah saath
dushwaar raastah hei tou rehne bhii deejiye.
( /dushwaar / deejiye )
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:40 pm
by najma
baRe wucuuq se dunya fareb detii rahii
baRe khuloos se ham e,tibar karte rahay
shaukat wastii
baRe/ rahay
"baRe"
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:54 pm
by Abdullah Nazir
baRe Haseen thay alfaaz us sitamgar ke
wafaa kaa naam liyaa aur be-wafaayii kii.
{wafaa / kii)
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:57 pm
by najma
wafa ka nam zamane meiN hogaya nayab
ye ach,cha kaam zamane meiN hogaya nayab
najma
ye/ nayab
"ye"
Posted: Sat Jun 18, 2005 12:07 am
by Abdullah Nazir
yeh zindagi bhi Ajab imtihaaN hei dunyaa meiN
qareeb jiske maiN houtaa hooN, door houtaa hei.
"ye"
Nazir.