Page 41 of 43
javaab
Posted: Tue Jan 09, 2007 4:38 am
by Abdullah Nazir
chashm-e-makhmoor kaa jo zikr chalaa
tbaat pahouNchi sharaab khaane tak..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 09, 2007 11:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]chashm-e-makhmoor kaa jo zikr chalaa
tbaat pahouNchi sharaab khaane tak..
Shaayer: Abdullah Nazir.
waah!
dil ke asfane nigahooN kee zabaaN tak pohnche
baat chal niklee hai ab dekh~eN kahaaN tak pohnche?[/align]
Posted: Tue Jan 09, 2007 3:21 pm
by MAHROO
jaan hatheli pe liye apni chala aaya hai
shama ke sath hi parwanah jalne aaya hai
Posted: Thu Jan 11, 2007 11:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
jaan hatheli pe liye apni chala aaya hai
shama ke sath hi parwanah jalne aaya hai
jawab!
koee baRh~e nah baRh~e ham to jaan dete haiN
ph~ir aesee chashm-e-tawajjah huee huee nah huee!
(Jigar Muraad aabadee)[/align]
Posted: Sat Jan 13, 2007 12:26 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
koee baRh~e nah baRh~e ham to jaan dete haiN
ph~ir aesee chashm-e-tawajjah huee huee nah huee!
(Jigar Muraad aabadee)
jawaab!
manSoor ke qamat se shanasa to huee khalq
ae Harf-e-sar-e-daar yeh aa'jaaz hai tera!
har chaak gareebaaN tire parcham se hai ham rang
har Halqah-e-zanjeer ham aawaz hai tera![/align]
javaab
Posted: Sun Jan 14, 2007 5:29 pm
by Abdullah Nazir
baada-e-ulfat samajh kar zehr-e-gham peete rahe
jaam ik khaalee houaa tou doosraa jaam aagayaa.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 14, 2007 11:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
baada-e-ulfat samajh kar zehr-e-gham peete rahe
jaam ik khaalee houaa tou doosraa jaam aagayaa.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
sitam bh~ee ba'aZ^ jagah iltefaat hota hai
a'jeeb silsilah-e-waqe'aat hota hai
yeh Th~eek hai. to tasallee hoee GhareebooN kee
suna hai. zeher bh~ee aab-e-HaYaat hota hai.
(A'dam)[/align]
javaab
Posted: Mon Jan 15, 2007 2:20 am
by Abdullah Nazir
sar yuN jhukaa keh sajde meiN girnaa paRaa mujhe
aayaa nazar jahaaN bhee tiraa naqsh-e-paa mujhe
jeene de aur nah marne de Ahd-e-wafaa mujhe
tum ne yeh kis gunah kee dee hei sazaa mujhe
bbevajh kiyuN lagegi koiee bad'duAaa mujhe
le jaaye lene aaye tou sail-e-balaa mujhe
kis TarH bhaayegi tiri kaafir adaa mujhe
muddat houee keh housh nahiN hei zaraa mujhe
jo kuch bhee dil meiN aaye khushi se sunaa mujhe
amrit nahiN tou zehr kaa pyaalah pilaa mujhe
(note: pyaalah qadeem Tarz per hei warnah SaHeeH lafz payaalah hounaa chaahiye).
ulTaa gilah hei mujh se khud apne quSoor kaa
"yeh tou janaab pahle se maAloom thaa mujhe".
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 9:39 pm

kiya kehne!!
Shaayer: Abdujllah Nazir.
jawab!
tumhare khat^ meN neya ek salaam kis ka tha
nah th~a raqeeb to aakhir woh naam kis ka th~a
woh qatl kar ke mujh~e har kisee se puch~te haiN
yeh kaam kis ne kiYa hai yeh kaam kis ka th~a
tamaam bazm jise sun ke reh gaee mushtaaq
kaho woh tazkirah-e-na taamaam kis ka th~a
har ek se kehte haiN kiya :DaaGh: be wafa nikla
yeh puch~e un se koee woh Ghulaam kis ka th~a.
[/align]
Re: javaab
Posted: Wed Jan 17, 2007 2:28 pm
by hassan_bashir
WEBMASTER wrote:
sar yuN jhukaa keh sajde meiN girnaa paRaa mujhe
aayaa nazar jahaaN bhee tiraa naqsh-e-paa mujhe
jeene de aur nah marne de Ahd-e-wafaa mujhe
tum ne yeh kis gunah kee dee hei sazaa mujhe
bbevajh kiyuN lagegi koiee bad'duAaa mujhe
le jaaye lene aaye tou sail-e-balaa mujhe
kis TarH bhaayegi tiri kaafir adaa mujhe
muddat houee keh housh nahiN hei zaraa mujhe
jo kuch bhee dil meiN aaye khushi se sunaa mujhe
amrit nahiN tou zehr kaa pyaalah pilaa mujhe
(note: pyaalah qadeem Tarz per hei warnah SaHeeH lafz payaalah hounaa chaahiye).
ulTaa gilah hei mujh se khud apne quSoor kaa
"yeh tou janaab pahle se maAloom thaa mujhe".
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Vahhh Vahh mohtaram, bahuuuut khuuub!!! :rose :rose
is haseen kalaam par merii daad aur mubaarak-baad qubool keejiYe!
javaab
Posted: Wed Jan 17, 2007 4:13 pm
by Abdullah Nazir
housh gaNwaaye rehnaa kab tak, apne meiN aanaa behtar hei
deewaanaoN se hamdardi ke saare raste band houee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Jan 18, 2007 2:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
housh gaNwaaye rehnaa kab tak, apne meiN aanaa behtar hei
deewaanaoN se hamdardi ke saare raste band houee.
Shaeir Abdullah Nazir
jawaab!
a'afiYat chaho to lazm hai ke gumnaam raho
ab to ik jurm hai is sheher meN shuhrat rakh~na![/align]
javaab
Posted: Thu Jan 18, 2007 5:49 pm
by Abdullah Nazir
apnaa sab saakhtah pardaakhtah manzoor mujhe
is meiN tum ne bhee tou dil khoul ke shirkat kee hei.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jan 19, 2007 3:33 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
apnaa sab saakhtah pardaakhtah manzoor mujhe
is meiN tum ne bhee tou dil khoul ke shirkat kee hei.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
jawab!
mujh~e shareek-e-baharaaN kiYa to Th~ehro bh~e
maiN apne khuN meN naha kar zara nikh~ar jaooN.
(E'shrat AfareeN)[/align]
javaab
Posted: Fri Jan 19, 2007 3:55 am
by Abdullah Nazir
dil be-niyaz itnaa hei faSl-e-bahaar se
"kaaTooN maiN sarvo ko jo baRhe qadd-e-yaar se".
Shaayer: Abdujllah Nazir.(gireh ka miSraA)
Nazir.