Page 42 of 65
Posted: Sat Jun 18, 2005 12:10 am
by najma
yaqeen karne ko karloon maiN unki batoN par
magar wo roz naee baat suna detay haiN
najma
magar/ haiN
Posted: Sat Jun 18, 2005 10:13 pm
by najma
mere dil ki dhaRkanoN se tira Gham hay aashkaaraa
keh yehii Gham-e-mohabbat mire dil ka hay sahaaraa
najma
keh/sahaaraa
Posted: Sun Jun 19, 2005 11:56 am
by najma
sara_j wrote:kaha betaab hoker meri rooh-e-jawaidaani se
keh haasil roshni ker is fazaaye aasmaani se
hmmmmmmmm :P
aap ne sher ko -------
ab bataiyye ham =say=se she,r kahaan se laeiN?
Daal diyana uljhan meiN--------------
acha sochen gay
Posted: Sun Jun 19, 2005 6:22 pm
by najma
sara_j wrote:najjo ji aapke liye aek shair bilkul taza ustadji ke qalam se
keh bhool jaaouN na maiN apni baat us ne kahaa
khayaal rakhyiye ke milnaa zaroor hei kal bhii
khayaal / bhii
hmmmm
ye huee na baaaaat ustadanah
khayal-e-yaar ne choRaa na saath jeetay-jee
gayaa, to saath mirii ruuh ka dhuwaaN lekar
nafis ahmad siddiqui
gaya/le-kar
gaya
Posted: Mon Jun 20, 2005 12:17 am
by Abdullah Nazir
gayaa hou jaise koii mere dil ko chootaa houaa
maiN rourahaa hooN akele meiN siskiyaaN lekar.
maiN / lekar
Nazir.
Posted: Mon Jun 20, 2005 12:35 am
by najma
maiN kis se apni tabaahii ki daastaan kahooN
mujhe halaak kiya hay mire maseehaa nay
najma
mujhe/nay
Posted: Tue Jun 21, 2005 8:33 pm
by najma
miree zindagii bhi yaro! kya ajeeb zindagi hay
na qafas hi raas aaya, na chaman ka aab-o-danah
najma
nah/danah
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:38 am
by najma
hamare shehr ki rasmeN, ajeeb rasmeN haiN
keh rah-zanoN ka yahaN koee eh,tisaab naheeN
bakhsh
keh/naheeN
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:20 am
by najma
haiN log wohii jahaaN meiN achay
aatay haiN jo kam doosroN ke
aatay/kay
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:23 pm
by najma
hay eh,timaam-e-giryah-o-maatam chaman chaman
rakhay haiN maqtaloN meiN janazay sajay huey
saGhar
rakhay/huey
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:38 am
by Hashmat Usmani
tuu abhii rah_guzar meN hai, qaid-e-maqaam se guzar
Misr_o_Hijaaz se guzar, Paaras_o_Shaam se guzar
'allamah Iqbaal
MISR / GUZAR
"nafrat"
Posted: Fri Jul 01, 2005 12:19 pm
by Abdullah Nazir
nafrat se pesh aa ke muHabbat se pesh aa
jaanaa nahiN hei mujhko tiri rehguzar se door.
( jaanaa / door )
Nazir.
[/color
"bus"
Posted: Sat Jul 02, 2005 12:23 pm
by Abdullah Nazir
Bas zaraa choone nahiN paaye thay paimaane ko ham
dekhte hii reh gaye veeran maikhaane ko ham.
dekhte / ham
Nazir.
"log"
Posted: Sun Jul 03, 2005 2:34 am
by Abdullah Nazir
loag kyaa kehte heiN yeh fikr nahiN hei mujhko
yooN nah chup chup ke karo khooN mire armaanaoN kaa.
"alif"
Nazir.
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:11 am
by Hashmat Usmani
yuN sajaa chaand k jhalkaa tire andaaz kaa rang
yuN fazaa mahkii k badlaa mire ham_raaz kaa rang
Faiz AHmad Faiz
YUN / RANG