Page 42 of 43
Posted: Sat Jan 20, 2007 11:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
dil be-niyaz itnaa hei faSl-e-bahaar se
"kaaTooN maiN sarvo ko jo baRhe qadd-e-yaar se".
Shaayer: Abdujllah Nazir.(gireh ka miSraA)
jawab!
mire kareem! jo teree raZ^ magar is bar
baras guzar gae shakhoN ko be camar rehte![/align]
javaab
Posted: Sun Jan 21, 2007 2:37 am
by Abdullah Nazir
Agar himmat nah hou tou naakhudaa kuch kar nahiN saktaa
nah maujeN saath deti heiN nah saaHil saath detaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 21, 2007 6:26 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
Agar himmat nah hou tou naakhudaa kuch kar nahiN saktaa
nah maujeN saath deti heiN nah saaHil saath detaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
jawab!
Dubte Dubte kashtee ko uch~ala de dooN
maiN naheeN koee to saHil peh utar jae ga!
(Faraz)[/align]
Posted: Sun Jan 21, 2007 8:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
Agar himmat nah hou tou naakhudaa kuch kar nahiN saktaa
nah maujeN saath deti heiN nah saaHil saath detaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
jawab!
Dubte Dubte kashtee ko uch~ala de dooN
maiN naheeN koee to saHil peh utar jae ga!
(Faraz)
dusra jawab!
bh~arosah na khuda ka ch~ooR! le naam-e-khuda "kaocar"
qayamat khez haiN ulfat ke dh~are ham nah kehte th~e![/align]
javaab
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:05 am
by Abdullah Nazir
daaman-e-saaHil peh yeh kis ne kahaa soutee hei mauj
sar paTakti hei musalsal, raat din routee hei mauj
ghaflat-e-mallaaH le Doobe nah kashti ko kaheeN
joush meiN aati hei jab, ToofaaN bhee houtee hei mauj
girya-e-shabnam ko de deti hei ik moutee kaa roop
beej yeh kaisaa Sadaf ke qalb meiN boutee hei mauj
mubtalaay-e-yaas houte heiN kayi gumkardah raah
boujh kaandhaoN per safeenaoN kaa magar Dhouti hei mauj
kitne Nazir apnaasar Takraake in se mar miTe
ab siy'ah dil pattharaoN ke daagh kiyuN dhouti hei mauj?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
daaman-e-saaHil peh yeh kis ne kahaa soutee hei mauj
sar paTakti hei musalsal, raat din routee hei mauj
ghaflat-e-mallaaH le Doobe nah kashti ko kaheeN
joush meiN aati hei jab, ToofaaN bhee houtee hei mauj
girya-e-shabnam ko de deti hei ik moutee kaa roop
beej yeh kaisaa Sadaf ke qalb meiN boutee hei mauj
mubtalaay-e-yaas houte heiN kayi gumkardah raah
boujh kaandhaoN per safeenaoN kaa magar Dhouti hei mauj
kitne Nazir apnaa sar Takraake in se mar miTe
ab siy'ah dil pattharaoN ke daagh kiyuN dhouti hei mauj?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
jawab!
maoj dar maoj hawa kartee hai yeh raz e'yaaN
zindagee narGhah-e-t^ufaaN meN hai saHil meN naheeN!
Shaayer: Abdullah Nazir. [/align]
javaab
Posted: Tue Jan 23, 2007 5:23 am
by Abdullah Nazir
saal ke poore baarah maheene aankh se aanso jaaree heiN
saawan bhaadooN kee baarish meiN sail-e-ravaaN kee baat kahaaN.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 23, 2007 1:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
saal ke poore baarah maheene aankh se aanso jaaree heiN
saawan bhaadooN kee baarish meiN sail-e-ravaaN kee baat kahaaN.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
jawaab!
ham dasht nawardooN ka a'jab Haal hai yaro
sao saal bh~ee ho jaeeN to Ghurbat naheeN jatee
kiyooN ham bh~ee dua'a maNg nah leeN haath~ uTh~a kar
be sood kisee shakhS kee meHnat naheeN jatee.
Shaayer: Abdujllah Nazir. [/align]
javaab
Posted: Tue Jan 23, 2007 11:00 pm
by Abdullah Nazir
shaam-e-gham aape meiN rehnaa hougayaa dushwaar jab
beqaraar aankhaoN se ooski behgaye aansoo bahut.
(alif)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jan 24, 2007 11:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
shaam-e-gham aape meiN rehnaa hougayaa dushwaar jab
beqaraar aankhaoN se ooski behgaye aansoo bahut.
(alif)
Shayer: Abdullah Nazir.
jawaab!
pech-o-kham rah-e-muHabbat ke naz^ar meN rakh~na
kaarwaaN ko nah sarabooN ke safar meN rakh~na
raone walooN ko rulata hai zamanah akcar
koee aaNsu nah kabh~ee deedah-e-tar meN rakh~na.
( Shayer Abdullah Nazir)[/align]
Posted: Wed Mar 28, 2007 10:30 pm
by MAHROO
aansoo nah baha faryaad nah kar
tu bhool jaa hamko yaad nah kar
Posted: Wed Apr 04, 2007 4:31 pm
by hassan_bashir
tumheN bhul jaayeN yeh hotaa naheeN hai
koee vaqt ho dard sotaa naheeeeeeeN hai
Posted: Tue Apr 10, 2007 8:20 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jaanta hooN aek aese shakhS ko maiN bh~ee Muneer
Gham se pathth~ar ho geya lekin kabh~ee roya naheeN
Muneer Neyazee.
Posted: Wed Apr 11, 2007 6:37 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
a'adat hee bana lee hai tum ne to Muneer apnee
jis sheher meN bh~ee rehna uktaae huwe rehna.
(Muneer)
Posted: Thu Apr 12, 2007 9:22 pm
by Rehana.A
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:a'adat hee bana lee hai tum ne to Muneer apnee
jis sheher meN bh~ee rehna uktaae huwe rehna.
(Muneer)
[align=center]
Dil kay muosum ujeeb muosum haien
muosumon ka madaar hey in par[/align]