Page 43 of 44
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sun Dec 21, 2008 11:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
GuZar jata hooN hanstaa kheltaa maoj-e-Hawaadic se
agar aasaaniyaaN hoN zindagee dushwaar ho jaae!
HaZ^rat ASGhar Husain ASGhar 1884/1936
[/color][/size]
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Tue Dec 23, 2008 4:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
poochaa thaa aek SaaHib-e-dil ne miraa mizaaj
be saakhtah labooN peh teraa naam aageyaa!
(Abdul Haameed A'dam)
[/color]
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Dec 27, 2008 12:09 am
by afzalshah
aiy dasht-e-junooN kkuch ho sitam ab to siwa aor
aaiga nahiN mujh sa ko'ee aaabla pa aor
maiN alam-e-imkaaN ki hoN hairat meN abhi gum
aiy gum'shudah-e-shaoq de shu'loN ko hawa aor
ehtishaam anwer shaa'er
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Dec 27, 2008 12:16 am
by afzalshah
gharat gar-e-chaman ye talaafi ki shart hay
jo shaakh jis jag'h thi wohiN chaahiay mujhay
mumkin nahiN ta'yyun-e-manzil pe ittefaaq
tum aasmaaN pasand zameeN chaahiay mujhay
shuhra'aafaaq shaayer
naseer koti sahib
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Dec 27, 2008 6:54 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kuch maiN hee jaantaa hooN jo mujh par guzar gaee
dunyaa to lut^f le gee miree waqe'aat meN!
muSt^afaa Zaidi[/color][/size]
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Wed Mar 18, 2009 9:54 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ik tiree deed chen gaee mujh se
warnah duniya men kiya naheeNbaaqi
(FaiZ^)
[/size]
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Wed Mar 18, 2009 10:03 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
munir-armaan-nasimi wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:AHmad dil-e-figaar ne pee kar lahu ke GhooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!
(Muzaffar AHmad Muzaffar)
[/size][/color]
WAH WAH... MASHA'ALLAH... KYA KHOOB SHER KAHA BHAI AAP NE.... GANJ-E-SHAHEEDAAN... WAAHHH KYA BAAT HAI....
DAAD QOBOL KAREIN...!!
Arman SaaHib maiN aap kaa be had mamnoon hooN keh aap ne she'er ko pasand farmate huwe daad-o-taoSeef ke khaazaane se sarfaraaz kiya Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Thu Mar 19, 2009 5:09 pm
by munir-armaan-nasimi
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:munir-armaan-nasimi wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:AHmad dil-e-figaar ne pee kar lahu ke GhooNT
seenah tamaam Ganj-e-shaheedaaN bana diya!
(Muzaffar AHmad Muzaffar)
[/size][/color]
WAH WAH... MASHA'ALLAH... KYA KHOOB SHER KAHA BHAI AAP NE.... GANJ-E-SHAHEEDAAN... WAAHHH KYA BAAT HAI....
DAAD QOBOL KAREIN...!!
Arman SaaHib maiN aap kaa be had mamnoon hooN keh aap ne she'er ko pasand farmate huwe daad-o-taoSeef ke khaazaane se sarfaraaz kiya Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!
Bhai jaan.......
20-12-2008 kii baat ab.........aaj 18-03-2009 ko.......... yaad aayi....... kamaal hai.... chaliye aapne jawaab to diya warna kuch Dost aise bhi hain jo............ Kaun "munir armaan nasimi" poochte hain????????
Koyee batlaaye ke hum batlaayein kya???
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Thu Dec 30, 2010 6:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Hashr meN Aaftaab-e-Hashr aor woh shor al-amaaN.
ASghar-e-but barast ne Zulf ka wastah diya.
Maolana ASghar Gondawi
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Jan 01, 2011 1:46 pm
by sbashwar
عارض گُلوں کے کتنے شفق رنگ تھے کبھی
تھا ٹہنیوں کا جسم بھی کتنا بٹا ہوا
عبداللہ ناظر
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Jan 08, 2011 12:19 pm
by sbashwar
علم و عمل سے صورتِ قرآں ، سیرت اُن کی شاہدِ اِیماں
حشر کے دن مختارِ شِفاعت صلی اللہ علیہ و سلم
عبداللہ ناظر
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Jan 08, 2011 12:36 pm
by sbashwar
فصلِ گل آئی تو دیوانوں کی آنکھیں کُھل گئیں
نذرِ گلشن ہوگیا ان کا لہو کس کے لیے
عبداللہ ناظر
Link:
http://www.abdullahnazir.com/index.php? ... b&Itemid=2
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Thu Feb 24, 2011 6:13 pm
by manzar alam
Khdaa ke waste daad is junoon-e-shauq kee denaa
keh us ke dar peh pahoNchte haiN naamah_bar se ham aage
خدا کے واسطے داداس جنون شوق کی دینا
کہ اس کے در پہ پھنچتے ھیں نامہ بر سے ھم آگے
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sat Jun 18, 2011 12:00 am
by stanvir
raastay band kiye detay ho deevaanoN ke
Dher lag jaayeN ge basti meiN barebaanoN ke
Re: PASANDEEDA ASH,AAR
Posted: Sun Jun 19, 2011 3:36 pm
by sbashwar
کثرتِ کذب و ریا عام اگر ہو ناظرؔ
تب حقیقت بھی نظر آتی ہے افسانہ مجھے
عبداللہ ناظر
[/font]