Page 43 of 65

"khushboo"

Posted: Sun Jul 03, 2005 6:23 pm
by Abdullah Nazir



lagaao hei tiri khusboo-e-pairahan se mujhe

sukhan se koii gharaz hei nah anjuman se mujhe.




Nazir.


Posted: Tue Jul 05, 2005 3:10 am
by Hashmat Usmani
aataa hai kis andaaz se, Tuk! naaz to dekho!!
kis dhaj se qadam paRtaa hai, andaaz! to dekho!!


MusHafii
KIS / DEKHO

Posted: Wed Jul 06, 2005 4:58 am
by Hashmat Usmani
jhuum ke jab rindoN ne pilaa dii
ShaiKh ne chupke_chupke du'aa dii


Kaif Bhopali
SHAIKH / DEE

"shukr"

Posted: Thu Jul 07, 2005 3:38 am
by Abdullah Nazir



shukr hei aapko kuch mujh se shikaayat nah rahi

mere jazbaat bhii sharminda-e-auhaam nahiN.


mere / nahiN


Nazir.


"maiN"

Posted: Sat Jul 09, 2005 12:32 pm
by Abdullah Nazir



maiN nah kahtaa thaa tumheiN Ahd nibhaanaa hougaa

aaj kiyuN karte hou dunyaa se shikaayat meri.


(aaj / meri)


Nazir.


Posted: Sun Jul 10, 2005 5:53 pm
by PK Swami
gayaa! par kuchh na kah paayaa maiN apnaa Haal-e-dil unse
kaf-e-afsos maltaa rai'h gayaa maiN chaarsoo barsoN

KhizaaN pamaal kar detee hai gulshan ke har ek gul ko
NaheeN jaataa magar qalb.o.jigar se rang.o.boo barasoN

Rafoogar dete aaye haiN tasallee umr bhar lekin
Jo dil par zakhm aa jaye naheeN hotaa rafoo barsoN


PK Swami

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:56 am
by Hashmat Usmani
VO bazm meN aaye, itnaa to "MEER" me dekhaa
phir uske ba'd charaaGhoN meN raushnii na rahii


Meer taqi "MEER"
PHIR / RAHII

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:29 pm
by PK Swami
phir na kije merii gustaakh nigahee kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujhko

PK Swami

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:31 pm
by PK Swami
phir na keeje merii gustaakh nigahee kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujhko

PK Swami

"dekhiye"

Posted: Tue Jul 12, 2005 7:27 pm
by Abdullah Nazir



dekhiye ghaur se maiN aapka aayeenah hooN

sirf soorat hii nahiN dil bhii nazar aayegaa.


sirf / aayegaa


Nazir.


Posted: Tue Jul 12, 2005 9:50 pm
by RAUSHNEE
sirf ashk-o-tabassum mei.n ulajhe rahe
hamane dekhaa nahin zindagii ki taraf

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:19 am
by Hashmat Usmani
ham dai'hr ke is viiraane meN jo kuchh bhii nazaara karte haiN
ashkoN kii zabaaN meN kahte haiN, aahoN se ishaara karte haiN


Mo'iin AHsan "Jazbii"
ASHKON / HAIN

"ye"

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:13 pm
by Abdullah Nazir



yeh ishaare, yeh kinaaye, yeh tabassum, yeh adaa

sab ke sab heiN mujhe deewaanah banaane ke liye.


sab / liye


Nazir.


Posted: Wed Jul 13, 2005 5:24 pm
by PK Swami
voHee ghamzaa, voHee shokhee, voHee diwanaakun nazreN
tasawwar meiN bhee vo samaane vaHshat le ke aaye haiN


PK Swami

Posted: Fri Jul 15, 2005 9:34 pm
by RAUSHNEE
hain aur bhi sukhanwar zamanay mein achay
kehtay hain ghalib ka hai andaz-e-bayan aur

any correction


kehtay/aur