Page 45 of 65
jis TaraH
Posted: Wed Aug 03, 2005 4:14 am
by Abdullah Nazir
Jis TaraH bhii housake ik baar milne aayiye
aapko meri qasam mujh per karam farmaayiye.
aapko / farmaayiye
Nazir.
"raath bhar"
Posted: Sat Aug 06, 2005 3:13 am
by Abdullah Nazir
raat bhar saath nah thaa koii yahaaN tere siwaa
khwaab meiN bhi nazar aati rahii jannat mujhko.
khwaab / mujhko
Nazir.
Posted: Sat Aug 06, 2005 9:06 pm
by Shummu
tum haqeeqat nahiN ho Hasrat ho
jo miley khwaab mein wo daulat ho
--jaun eliya
JO/HO
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:04 am
by shahnaz zafar
ho chukiiN Ghalib balayN sab tamaam
ek marge naagahaani aur hai
ek /hai
"ek"
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:36 am
by Abdullah Nazir
ek baat, ijaazut hou tou poochonga maiN un se
MaiN khaSm nahiN thaa tou mujhe bhool gaye kiyuN
maiN / kiyuN
Nazir.
Posted: Sun Aug 07, 2005 12:10 pm
by RAUSHNEE
main na kehta tha tumhain AHD nibhaana ho ga
ab kiyon kerte ho dunya say shikayat meri
Posted: Mon Aug 08, 2005 11:45 am
by Shummu
maiN kuch na kahooN aur ye chaahooN ke miree baat
khushboo ki taraH uR ke tire dil meiN utar jaaye
khushboo/jaaye
"jab"
Posted: Wed Aug 10, 2005 3:15 am
by Abdullah Nazir
jab mahak uThte heiN dil meiN tiri yaadaoN ke gulaab
souchtaa hooN ke miri raat kaTegi kaise.
souchtaa / kaise
Nazir.
Posted: Wed Aug 10, 2005 9:31 am
by Shummu
Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,
Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki tarah
DIL/TARAH
Posted: Thu Aug 11, 2005 2:01 am
by RAUSHNEE
dil yeh kehta hai k shayad ho fasurada tu bhi
dil ki kia baat karein dil tu hai nadan janan
itnaa
Posted: Sun Aug 14, 2005 1:50 am
by Abdullah Nazir
itnaa karm bhii hou nah sakaa tum se pyaar meiN
gulgasht ke liye kabhi aate bahaar meiN.
gulguhast / meiN
Nazir.
hardam
Posted: Wed Aug 17, 2005 6:01 am
by Abdullah Nazir
her dam tumhaari yaad ne rakhkhaa hei muSTarib
kaise sanbhaaloon apne dil-e-beqaraar ko.
kaise / ko
Nazir.
"dil"
Posted: Thu Aug 18, 2005 9:53 am
by Abdullah Nazir
dil kii baat samajhkar bhi tum kiyuN anjaan se rehte hou
maiN tum se kyaa maangrahaa hooN tum mujh se kyaa kahte hou.
maiN / hou
Nazir.
Posted: Fri Aug 19, 2005 11:51 am
by Shummu
us ne dekhaa hii nahiiN dard kaa aaghaaz abhii
ishq ko apanii tamannaaoN pe hai naaz abhii
ishq/abhii
"ishq"
Posted: Fri Aug 19, 2005 4:50 pm
by Abdullah Nazir
ishq meiN dil shikani hei tiraa andaaz abhi
chaiR mat mujhko khudaaraa mire hamraaz abhi.
chaiR / abhi
Nazir,