Page 48 of 65
Posted: Thu Nov 24, 2005 12:19 pm
by Shummu
zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
ye zameeN chaand se behtar nazar aati hai humein
ye/humeiN
Posted: Mon Nov 28, 2005 2:03 am
by Hashmat Usmani
hai bas k har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur
Chachaa
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:37 pm
by Shummu
raat bhar sochataa rahaa tujh ko
zehn-o-dil mere raat bhar mehke
zehn-o-dil/mehke
dil
Posted: Mon Dec 19, 2005 12:44 pm
by Abdullah Nazir
dil touR ke khush houte hou yeh bhi hei koii baat?
kyaa tum ko abhi saath nibhaanaa nahiN aataa.
(kyaa / aataa)
Nazir,
kyaa
Posted: Sat Dec 24, 2005 4:05 am
by Abdullah Nazir
kyaa hougayaa yeh, waAdh khilaafi houi hei kiyuN
ik boujh saa hei dil pah tire intizaar meiN.
(ik / meiN)
Nazir.p/i]
Posted: Sat Dec 24, 2005 6:25 pm
by RAUSHNEE
ik aag gham-e-tanhaii ki jo saray badan mein phel gayee
jub jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachayein kia
Posted: Mon Dec 26, 2005 9:59 pm
by Shummu
jab bhii taqamiil-e-mohabbat kaa Khayaal aataa hai
mujhko apane Khayaalo.n pe ha.Nsii aati hai
mujhko/hai
Posted: Tue Dec 27, 2005 5:09 pm
by ummassad
mujhko shiqwa nahi ay katibe taqdeer magar
ro pade tu bhi agar mera mukahder dekhe
"ye"
Posted: Thu Dec 29, 2005 9:01 am
by Abdullah Nazir
yeh aur baat hei ke miraa bakht jaag uThaa
waise na thi umeed tagaaful shiAaar se.
(waise / se)
Nazir.,
Posted: Mon Jan 02, 2006 7:36 pm
by Shummu
waise to zindah dil hain, mager phir bhi Aye Shakeel
hota hai aik dard , hamaari hansi ke saath
hota/saath
saath
Posted: Tue Jan 03, 2006 1:56 am
by Abdullah Nazir
saath jiskaa detaa hooN mujh se hei gilah usko
jhooT meraa shewah hei, aur bewafaa hooN maiN !!!
( jhooT / maiN )
Nazir.
mai
Posted: Tue Jan 03, 2006 3:18 am
by Abdullah Nazir
mai-e-gulfaam kahaaN thi mire paimaane meiN
meraa hii khoon mujhe tum ne pilaanaa chaahaa.
( meraa / chaahaa )
Nazir.
Posted: Fri Jan 06, 2006 9:02 pm
by ummassad
meera rona nahin rona hay yeh saare gulistan ka
wo gul houn main khizan her gul ki hyi goya khizan mairi
"wo"
Posted: Sat Jan 07, 2006 4:04 am
by Abdullah Nazir
Wo milte heiN tou sunnaa chaahte heiN daastaaN meri
magar kyaa jaane kiyuN khaamoush rehti hei zabaaN meri.
(magar / meri)
Nazir.
Posted: Fri Jan 13, 2006 2:10 am
by ummassad
MERI ZINDAGI HAI ZALIM TERE GAM SE AASHKARA
TERA GUM HAI DERHAQHIQAT MUJHE ZINDAJI SE PYERA