Page 49 of 65
Posted: Mon Jan 16, 2006 7:44 pm
by Shummu
Tera BaDa Hi Shukriya Pilaaye Jaa Pilaaya Jaa
Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharab La Sharaab Laa
Na/Laa
Posted: Mon Jan 16, 2006 8:12 pm
by ummassad
na kisi ki aankh ka noor na kisi ke dil ka suroor houn
jo bigd gya vo naseeb hoon jo ujdr gye vo diyar houn
Posted: Mon Jan 16, 2006 10:10 pm
by Shummu
jo dosti nahin mumkin tu phir yeh ahad karein
keh dushmani mein buhat door tak na jaayenge
keh/jaayenge
"jaayenge"
Posted: Tue Jan 17, 2006 1:10 am
by Abdullah Nazir
Jaayenge aur kahaaN ham tiri taSveer liye
khaana-e-dil meiN hii rehjaane de Thukraa nah hameN.
(khaanah / hameN)
Nazir.
Posted: Fri Jan 20, 2006 9:19 pm
by ummassad
hamen saager-o- bada ke dene main ab kare deer jo saaqi tuu haye gazab
ki yh aahed-e- nishat yh dour-e-talab na rahega jahan main saada na raha.
"rahaa"
Posted: Sat Jan 21, 2006 4:31 pm
by Abdullah Nazir
Rahaa nah ZabT o taHammul nah hei qaraar mujhe
talaaTum-e-gham-e-hastii ke paar ujtaar mujhe.
Shayer: Abdullah Nazir
( talaaTum / mujhe )
Nazir.
"tiraa"
Posted: Sun Jan 22, 2006 2:27 pm
by Abdullah Nazir
tiraa khayaal kabhi dil se door hou na sakaa
Hujoom-e-dard o alm meiN bhi muskuraataa hooN
hujoom / hooN
Nazir.
Posted: Mon Jan 23, 2006 10:57 am
by Shummu
Qadam Qadam pe bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarha
Agar/tarha
"agar"
Posted: Mon Jan 23, 2006 11:41 am
by Abdullah Nazir
agar haTnaa bhi chaahooN maiN akelaa raah-e-manzil se
baRe chaalaak heiN sab hamsafar, peechaa nah chouReNge.
(baRe / chouRenge)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"ham"
Posted: Mon Jan 30, 2006 8:04 am
by Abdullah Nazir
ham ko manzil tou kujaa koie nishaaN tak nah milaa
aafilah aaj bhi hei garm-e-safar kyaa keeje.
(aafilah / keeje)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
pauNhchegi
Posted: Sat Feb 04, 2006 8:15 am
by Abdullah Nazir
pahuNchegi dil kii baat agar bazm-e-yaar meiN
kyaa kehiye kaun hougaa mire intizaar meiN.
Shayer: Abdullah Nazir.
kyaa / meiN
Nazir.
milaa
Posted: Mon Feb 06, 2006 2:40 pm
by Abdullah Nazir
milaa hei raah-e-muHabbat meiN wo Azaab ke maiN
khushi se jee nah sakuN aur khushi se mar nah sakuN.
(khushi / sakuN)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
gulaoN
Posted: Tue Feb 07, 2006 5:02 am
by Abdullah Nazir
gulaoN ki dilrubaayi hei chaman meiN mausam-e-gul tak
KhizaaN meiN kaun aisaa hei jo inke kaam aataa hei.
khizaaN / hei
Shayer: Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Feb 09, 2006 3:41 am
by Daanish
hai apni yeh salaah ke sab zaahidaan-e-shehr
ai Dard! aa ke ba'it-e-dast-e-subu, kareN--Khaja Meer Dard
ai/kareN
"soute"
Posted: Sat Feb 11, 2006 2:28 pm
by Abdullah Nazir
soute rehte heiN jahaaN waale baRe aaraam se
kashmakash rehti hei meri, Hasrat-e-naakaam se.
(kashmakash / se)
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.