Page 50 of 65

hougayaa

Posted: Fri Feb 17, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir



hougayaa be-mehriy-e-jaanaaN se yooN dil paash paash

pis gayaa hou aayienah jaise keh paththar ke tale.


(pis / tale)

shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Feb 18, 2006 6:07 am
by ummassad
apna deewana banaya mujhe hota tu ne
kyun khird mand banaya na banaya hota

"kiyuN"

Posted: Sun Feb 19, 2006 2:25 pm
by Abdullah Nazir



kiyuN mujhe bhool gaye aas dilaakar mujhko

kaash tum ne mujhe apnaa nah banaayaa houtaa.


( kaash / houta )

Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 12:35 pm
by Shummu

Apni tarah sabi ko kisi ki talaash thi,
Hum jiskay bhi qareeb rahey door hi rahe


Hum/rahe

"apna"

Posted: Mon Feb 20, 2006 4:53 pm
by Abdullah Nazir



apnaa apnaa zauq hei aur apni apni hei nigaah

kiyuN pasand aayi hei wo taSveer maiN kaise kahuN.


kiyuN / kahooN

Shayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 9:17 pm
by ummassad
KIYUN ziakaar banoon soud faramush rahun
fiker ferda na karoon mahvay gumdoush rahoon


FIKER---RAHOON

fikr

Posted: Tue Feb 21, 2006 2:04 am
by Abdullah Nazir



fikr-e-fardaa meiN guzaare zindagi ke rouz o shab

ham taAaqub meiN saraabaoN ke the, manzil ke nahiN.


(ham / nahiN)

Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"phir"

Posted: Wed Feb 22, 2006 1:32 am
by Abdullah Nazir



Phir nah jaane kiyuN taghaaful kaa gila karne lage

rooh ko phir jism se mere judaa karne lage.


( rooH / lage )

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"yaa"

Posted: Wed Feb 22, 2006 4:17 am
by Abdullah Nazir



yaa ghaTaa jhoom ke chaaye tou ghazal houti hei

yaa wo seene se lagaaye tou ghazal houti hei.


(yaa / hei)

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


"keejiye"

Posted: Mon Feb 27, 2006 12:18 am
by Abdullah Nazir



keejiye zikr-e-gham-e-dil kisi naadan se kiyuN

baat jo apni nah samjhe use samjhaayiye kyaa.


(baat/kyaa)

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Feb 27, 2006 2:50 am
by ummassad
baat karni mujhe mushkil kabhi aaisi tu na thi
jasi ab hy teri mahfil kabhi aaisi tu na thi

Jaisi

Posted: Mon Feb 27, 2006 7:48 pm
by Abdullah Nazir



Jaisi Haalat hei miri dasht ki tanhaayi meiN

karne baiThooN jou bayaaN maiN tou kahaani houjaaye.


( karne / houjaaye )

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 6:15 am
by ummassad
hain loog vohi jahan main acche
aate hyn jo kaam dousroun ke

aate..ke

oos

Posted: Tue Mar 07, 2006 3:40 am
by Abdullah Nazir



oos jafaa-joo se ab kyaa gilaa rehgayaa

jo hameshah hii moNh phertaa rehgayaa.


jo /rehgayaa

Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Mar 08, 2006 2:59 am
by Daanish
Woh cheez, jis ke liye hum ko ho bahisht azeez
siwa-e-baada-e-gulfaam-e-mushkbu kya hai--Ghalib

siwa/hai