Page 6 of 6

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:40 am
by ummassad
phir saawan rut ki powen chali tum yaad aaye
phir patton ki pazaeb baji tum yaad aaye

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:15 am
by Daanish
partav-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki ta'aleem
maiN bhi huN ek inaayat ki nazar hone tak--Ghalib

Posted: Mon Feb 13, 2006 9:22 pm
by ummassad
phir tere kooche ko liye jata hy khiyal
dil.e. gumgashta magar yaad aaya

Posted: Wed Feb 15, 2006 2:19 am
by Daanish
phir dostoN ko maine pa'e mashq de diye
jo teer mujh tak aake khataa ho ke rah gaye--Khumaar

Posted: Sat Feb 18, 2006 6:46 am
by ummassad
phool tu doo din bahar e zindagi dikhla gye
hasrat un gunchoun pe hy jo bin khilay murjha jya

Posted: Mon Feb 20, 2006 9:22 pm
by ummassad
PHOOLOUN SE BADAN UNKE KAANTY HAIN ZUBANOUN MAIN
PATTHER KE HYEN DARWAZE SHESHOON KE MAKANOON MAIN

"pe"

Posted: Tue Feb 21, 2006 2:21 am
by Abdullah Nazir



pecheedah yooN houe miri manzil ke raaste

jaise ke gaisuoaoN ke tire, pech o kham houe.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Mar 03, 2006 3:58 pm
by ummassad
pahli si mahoubut na sahi phir bhi kabhi tou
rasem.o.rah.e.duniya hi nibha ne keliye aa

"pe"

Posted: Sat Mar 04, 2006 3:53 am
by Abdullah Nazir



poocho patah nah mujh se ghareebul-dayaar kaa

mil jaayegaa kahiN wo sharaaft ke ird gird.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Mar 05, 2006 7:01 pm
by ummassad
pather ki muratoun main samjha hy tu khuda hy

khak.e.waten ka mujhko her zarra deota hy

"pe"

Posted: Tue Mar 21, 2006 1:06 pm
by Abdullah Nazir



patah chalaa tire chehre se ai gul-e-raAnaa

keh aab o taab-e-guhar aati jaati rehti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed May 10, 2006 4:36 pm
by ummassad
pal bher ko teri yaad main dharka tha mera dil
ab door tk bhanwer se pade hain sadavoun ky

"pe"

Posted: Mon May 15, 2006 12:28 pm
by Abdullah Nazir



pyaar se us ne kabhi kii nah miri chaarah gari

gou keh daAwaa thaa thaa hameshah hi maseeHaayi kaai.


Shaayer: Abdulah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 05, 2006 4:47 am
by ummassad
paa gai aasuudgi koo.e.mahubat main vo khak
mudatoun aawara jo hikmut ke sahraoun main thi