Page 6 of 9
Posted: Thu Jun 02, 2005 12:20 am
by najma
tehreek-e-tark-e-ehd hay ab har qasam ke saath
joRa hay yuuN wafaaoN se rishtah sitam ke saath
Posted: Thu Jun 02, 2005 1:16 am
by Hashmat Usmani
tamaam 'umr kaa Hisaab maangtii hai zindagii
maangtii hai zindagii
yeh meraa dil kahe to kia, yeh Khud se sharm_saar hai
yeh Khud se sharm_saar hai
yeh kia jaghe hai, dosto!...
Shahryaar
"te"
Posted: Thu Jun 02, 2005 3:09 am
by Abdullah Nazir
Tabassum us ke lab per thaa ke bijli sii chamakti thii
mire dil kaa nasheman zad meiN thaa :Nazir: maiN kyaa kartaa.
fil.............
Nazir.
Posted: Thu Jun 02, 2005 12:07 pm
by najma
tum un ke wa,de ka zikr un se kyuuN karo Ghaalib!
ye kya, keh tum kaho, aur wo kaheN keh yaad naheeN
Ghalib
"te"
Posted: Fri Jun 03, 2005 11:10 am
by Abdullah Nazir
tamanna'aoN kaa khooN karke milaa karte hou yooN mujh se
keh jaise bakhsdi houN saari khushiyaaN zindagaanii kii.
Nazir.
Posted: Fri Jun 03, 2005 12:59 pm
by najma
tant ke waqt meiN apnoN se na munh pher, keh tuu
daulat islaam ki hay, kufr ka iqbaal naheeN
zafar ali
?te"
Posted: Fri Jun 03, 2005 5:27 pm
by Abdullah Nazir
tajziyah karte rahe loag tiri baataoN ko
mujhko yeh fikr thii, aayeenah muqaabil tou nahiN[/u\
Nazir.
Posted: Fri Jun 03, 2005 6:44 pm
by najma
tire shaheedoN ke aagay na rang pakRe ga
hazaar rang se ho lala-e-gulistaaN surkh
aatish
Posted: Sun Jun 05, 2005 12:46 am
by najma
rire pyaar ka aasra chahtaa hooN
wafa kar rahaa hooN, wafa chaahtaa hooN
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
tere badan meN dhaRakne lagaa huuN dil kii taraH
yeh aur baat k ab bhii tujhe sunaaii na duuN
AHmad faraaz
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:13 am
by najma
tum se hua na dard-e-dil-e-zaar ka ilaaj
phir kon se maraz ki batao, dawaa ho tum
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:22 am
by Hashmat Usmani
taasiir to taasiir, tasavvur hai gurezaaN
raatoN ko zaraa maaNgiye uTh uTh ke duaa aur
Shakeel Badaayuunii
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:26 am
by najma
tujh ko paane ke liye, khud ko miTaane ke liye
maiN ne kya kya ajab ohaam tarashe aiy dost!
khawar
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:29 am
by Hashmat Usmani
tere Khush_buu meN base Khat maiN jalaataa kaise?
jinko duniyaa kii nigaahoN se chhupaaye rakhaa
jinko ik 'umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jinko, jinheN iimaan banaaye rakhaa
Rajendranaath "Rahbar"
Posted: Sun Jun 05, 2005 2:34 am
by najma
tirii chashm-e-fasooN-gar ne kiya, kya jane kya jaaduu
tira kalmah wohii paRhte haiN, jo allaah waale haiN
daGh