Page 6 of 17

Posted: Wed Dec 21, 2005 2:22 pm
by ummassad
PHOOL KI PATI SE KATSAKTA HAI HEERE KA JIGAR
MARD-E- NADAAN PER KALAM-E-NARM .O. NAZUK BE ASAR

Posted: Wed Dec 21, 2005 2:26 pm
by ummassad
GULOON SE KHAR BEHTER HAIN JO DAMAN THAM LETE HAIN
AZIZON SE HAIN BEHTAR, WAQT PER JO KAAM AATE HAIN

Posted: Sun Dec 25, 2005 8:31 pm
by RAUSHNEE
sara_j wrote:ik shakhs k khonay ka dar kuen nahi jatta
yeh khauf meray dil se utar kuen nahi jata
manzil per puhanch ker bhi usay khona paray ga
yeh teh hai tu phir shauq-e-saffar kuen nahi jata

Exxxxxxxxxxxxxcelllllllllleeeeeennnnnnnnntttttttt......

Posted: Mon Dec 26, 2005 4:24 am
by Hashmat Usmani
aataa hai yaad mujhko guzraa hua zamaana
vo baaGh kii bahaareN, vo sab kaa chahchaanaa


Iqbaal

Posted: Tue Dec 27, 2005 4:11 pm
by ummassad
aabadi bhi dekhi hae weerane bhi deekhe hain
jo ujde aor phir na base dil wo nirali basti hae

Posted: Thu Dec 29, 2005 4:30 pm
by ummassad
ay tahir-e-lahoti hai us rizeq se mout achi
jis rizaq se aati ho parwaz main kotai

sabaq aamouz

Posted: Thu Jan 19, 2006 4:03 am
by Abdullah Nazir



"HirS ke phailte heiN paauN baqar-e-wusAat

tang hii rehte heiN dunyaa meiN faraaghat waale".
........na-maAloom


Nazir.


Posted: Thu Feb 09, 2006 3:01 pm
by Daanish
mehram nahiN hai tu hi nawaha-e-raaz ka
yaaN warna jo hijaab hai, parda hai saaz ka--Ghalib

Posted: Mon Feb 13, 2006 5:24 am
by Daanish
Aalam-e-rozgaar ko aasaaN bana diya
jo gham hua, use gham-e-jaanaaN bana diya--Asghar Gondavi

sabaq aamouz

Posted: Mon Feb 13, 2006 1:38 pm
by Abdullah Nazir



"mujhko dekh umr kii ik khwaab-fizaa manzil meiN

apne armaanaoN kaa dam ghounT ke bedaar hooN maiN"


Shayer: Hyderabad ke aek shayer. yaad nahiN kaun.


Nazir.


Posted: Mon Feb 13, 2006 7:35 pm
by ummassad
watan ki fikr kr nadan musibat aane wali hye
tumhari dastan tk bhi na hogi dastanoo main

Posted: Tue Feb 14, 2006 12:40 pm
by Daanish
har nafas umr-e-guzishtaa ki hai maiyyat Faani
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka--Faani Badayuni

Posted: Wed Feb 15, 2006 5:40 pm
by ummassad
patther hi lagein gy tujhe her simth se aaker
yeh jhoot ki duniya hy yahan such na kahaker

Posted: Sat Feb 18, 2006 5:56 am
by ummassad
nasheman per nasheman isterhe tameer karta ja
ki bijli girte girte aap khud bezaar ho jaye

---

Posted: Thu Feb 23, 2006 2:13 am
by Abdullah Nazir



"Gou maiN rahaa raheen-e-sitam-haay-e-rouzgaar,

lekin tire khayaal se ghaafil nahiN rahaa".


Shaayer: Ghalib.


Nazir,