Page 6 of 8
Posted: Mon Jun 13, 2005 12:13 am
by najma
qaazii hazar tarha ke jhagRoN meiN aasakaa
lekin na husn-o-ishq ka qissa chuka saka
soz
Posted: Mon Jun 13, 2005 1:00 am
by najma
aashiqii wo rog hay jis meiN keh ho jaatii hay yaas
achay hote kam sunaa hay meer is aazaar ko
meer
ishq
Posted: Tue Jun 14, 2005 2:52 am
by Abdullah Nazir
Dil ishq meiN doobaa hei per baat nahiN bantii
maiN usko hansaataa hooN wo mujhko rulaati hei.
Nazir.
Posted: Tue Jun 14, 2005 8:23 am
by syed bilal armaan
naya unwan 17 june 2005 ko diya jaye ga...[-BILAL]
ham koii tark-e-wafa karte haiN
na sahee ishq museebat hi sahee
Posted: Tue Jun 14, 2005 8:32 am
by syed bilal armaan
naam hai, ishq meiN zindagii na dekh
jalwa-e-aaftaab ban, zarre meiN roshnii na dekh
Posted: Tue Jun 14, 2005 8:33 am
by syed bilal armaan
ISHQ Kartey Hain Sabhi Fark Sirf Itna Hai
Koi Khamosh Rahey Koi Bata Deta Hai
Posted: Tue Jun 14, 2005 12:00 pm
by najma
ishq mujhko nahieN, wehshat hii sahii
merii wehshat, terii shohrat hii sahii
Posted: Tue Jun 14, 2005 7:27 pm
by najma
KAAM THAY ISHQ MEIN BOHAT, PAR, MEER!
HAM HO FAARIGH HUEY SHITAABII SE
MEER
Posted: Wed Jun 15, 2005 11:26 am
by najma
sara_j wrote:Allama ka aek shair farsi mien:
Az muhabbat ishta-aal-i joharash, irtaqa-i mumkinaat-i muzmirash
From love proceed the radiance of its being, and the development of its unknown possibilities.
Fitrat-i oo aatish andozad zi ishq. Alam afrozi beyamozad zi ishq
Its nature gathers fire from love. Love instructs it to illumine the world.
aashiq hay yaa mareez hay, poocho to meer se
paataa hooN zard roz-ba-roz us jawaaN ko maiN
meer
Posted: Wed Jun 15, 2005 12:01 pm
by syed bilal armaan
dil ke her khail maiN hota hai bohat jaaN ka zyaaN
Ishq ko Ishq samajh mashghala-e-dil naa bana
Note: naya unwan 17 june ko diya jaye gaa.[-BILAL]
Posted: Wed Jun 15, 2005 12:14 pm
by syed bilal armaan
Note: naya unwan 17 june ko diya jaye gaa.[-BILAL]
tum ko jaana tha ISHQ ke qaabil
wo ye aHsaaN hameN jataaiN ge
Posted: Wed Jun 15, 2005 12:58 pm
by najma
phir bhi karte haiN meer sahib ishq
haiN jawaaN, ikhtiyaar rakhte haiN
meer
Posted: Wed Jun 15, 2005 6:12 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,
ishq ke shole ko bha.Dakaao ke kuchh raat kaTe
dil ke a.ngaar ko dahakaao ke kuchh raat kaTe
hijr me.n milane shab-e-maah ke Gam aaye hai.n
chaaraasaazo.n ko bhii bulavaao ke kuchh raat kaTe
Posted: Wed Jun 15, 2005 8:35 pm
by najma
suno, aiy ishq meiN tauqeer-e-hastii DhoonDnay walo!
ye wo manzil hay, jis manzil pe insaaN laR-khaRaate haiN
saGhar
Posted: Thu Jun 16, 2005 8:20 am
by najma
husn be-qaid sahii ishq bhi mehdood nahi
mujhko paayenge jahaan tak voh numayaan hounge