Page 6 of 44
Posted: Tue Jul 26, 2005 2:15 am
by Hashmat Usmani
Hosh jaataa nahiiN rahaa, lekin
jab vo aataa hai tab nahiiN aataa
Meer taqi "MEER"
Posted: Tue Jul 26, 2005 2:21 am
by Hashmat Usmani
waah Saara, bahot Khoob she'r sunaayaa :rose
jab maiN ne shur'uu qissa kiyaa, aaNkheN khol diiN
yaqiinii thii mujh ko chashm_numaaii tamaam shab
Meer Taqi "Meer"
Pasandeedah
Posted: Tue Jul 26, 2005 3:18 am
by Abdullah Nazir
"achchaa hei dil ke saath rahe paasbaan-e-Aql
lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhii chouRde.
Aallamah Iqbal,
Nazir.
Posted: Tue Jul 26, 2005 3:25 am
by Hashmat Usmani
Khaak-e-dil jauhar-e-aaiina ke kaam aa hii gaii
laakh duniyaa ne nigaahoN se giraanaa chaahaa
Karraar Noorii
Posted: Tue Jul 26, 2005 3:37 am
by Hashmat Usmani
har gumaaN pahne huye thaa ek malbuus-e-yaqiiN
har yaqiiN jaaN daada-e-Husn-e-gumaaN thaa, dosto!
Jagannaath Azaad
Posted: Tue Jul 26, 2005 4:21 pm
by PK Swami
ye tafseel kaisee sunaate ho mujh ko
koi tazkiraa maiN naheeN kar raHaa hooN
yaqeeN par bharosaa naheeN raH gayaa hai
gumaaN par saraasar yaqeeN kar raHaa hooN
PK Swami
Posted: Wed Jul 27, 2005 2:22 am
by Hashmat Usmani
Shai'Kh saaHib, Khudaa se Darte ho?
maiN to angrezoN hii se Dartaa huuN!
Akbar Allahabadi
pasandeedah
Posted: Wed Jul 27, 2005 3:51 am
by Abdullah Nazir
"aane waale kisi Toofan kaa rouna roukar
nakhudaa ne mujhe saaHil pah Dubounaa chaahaa"
Hafeez Jaalandhari
Nazir.
Posted: Thu Jul 28, 2005 2:01 am
by Hashmat Usmani
ab shauq se bigaaR kii baateN kiyaa karo
kuchh paa gaye haiN aap kii tarz-e-bayaaN se ham
Altaaf Husain "Haali"
Posted: Fri Jul 29, 2005 5:59 am
by Hashmat Usmani
zaKhm ko phuul, to sar_sar ko sabaa kahte haiN
jaane kia daur hai, kia log haiN, kia kahte haiN
AHmad Faraaz
ek is zameen aur tarz par filmii gaanaa thaa jiske bol kuchh yuuN the:
aapkii zulf ko saawan kii ghaTaa kahte haiN
aapkii mad_bharii aaNkhoN ko kaNwal kahte haiN
ek ham hii nahiiN, sab log yehii kahte haiN
aapkii chaal ko jaadoo saa 'amal kahte haiN
Posted: Fri Jul 29, 2005 12:46 pm
by RAUSHNEE
]mere charager ko naveed ho saf-e-dushma ko khabar kero
woh jo qarz rakhtay thay jaan per woh hisaab aj chuka deeya
Posted: Fri Jul 29, 2005 6:59 pm
by Hashmat Usmani
jo ruke to koh-e-garaaN the ham, jo chale to jaaN se guzar gaye
rah-e-yaar ham ne qadam qadam, tujhe yaad_gaar banaa diyaa
Faiz AHmad "Faiz"
Posted: Sun Jul 31, 2005 5:54 am
by Hashmat Usmani
naa_Haq ham majbuuroN par tohmat hai Khud_muKhtaarii kii
jo chaaheN so aap kareN haiN, hamko 'abas bad_naam kiyaa
Meer Taqii "Meer"
pasandeedah
Posted: Wed Aug 03, 2005 4:07 am
by Abdullah Nazir
"sanbhalne de mujhe aiy naa-umeedi kyaa qiyaamat hei
keh daamaan-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se"
Ghalib.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Aug 03, 2005 4:23 am
by Abdullah Nazir
"jaam-e-mai taubah shikan taujbah miri jaam shikan
saamne Dher heiN TooTe houe paimanaoN ke"
Riyaz khairaabaadi
Nazir.