Page 6 of 10

Posted: Sun Aug 27, 2006 1:34 pm
by hassan_bashir
dil-e-be-hausalaa hai ik zaraa sii Tiis kaa mahamaaN
vo aaNsuu kyaa piyegaa jis ko Gham khaanaa nahiiN aataa

Posted: Sun Aug 27, 2006 4:42 pm
by Daanish
kaun si raat woh aayi ke tasavvur se tire
sheesha-e-dil meiN pari ko maiN utaara na kiya
--Mus'Hafi


dil

Posted: Mon Aug 28, 2006 1:19 am
by Abdullah Nazir



SeHraa meiN wo samoom thee dil tak jhulas gayaa

kis ko amaaN mili shajar-e-saayah-daar meiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Aug 28, 2006 4:01 am
by ummassad
nazer lagey nh kahain unkey daast.o.baazu ko
yah loog kyun merey zakem.e.jagar ko dekhty hain

Posted: Mon Aug 28, 2006 7:21 am
by Daanish
'dil/jigar'

tab naaz-e-giraaN_maaigi-e-ashk bajaa hai
jab laKht-e-jigar deedah-e-KhooN_baar meiN aavay
--Ghalib

Posted: Mon Aug 28, 2006 5:09 pm
by ummassad
phely pahel ka ishq abhi yaad hey faraz
DiL khud yeh cahataa tha kh ruswaiyan bhi houn

Posted: Tue Aug 29, 2006 2:48 am
by Daanish
'dil'

dil bhi ai Dard, qatrah-e-KhooN thha
aaNsuoN meiN kaheeN gira hoga
Khwaja Meer Dard

Posted: Tue Aug 29, 2006 4:56 pm
by PK Swami
dam kabhee uljhe hajoom.egham se ye mumkin naheeN
ai khayaal.e yaar jab tak tu hamaare dil meiN hai !!


PK Swami

dil

Posted: Wed Aug 30, 2006 1:01 am
by Abdullah Nazir



hei dasht navardi meiN Ajab daghdagh dil ko

achchaa hei andheraa nah ujaalaa hei bahut khoob.


Shaayer: Nazir


Nazir.


Posted: Wed Aug 30, 2006 5:24 am
by Daanish
dil lagii ki aarzoo bechain rakhti hai humeiN
warna yaaN beraunaqi, sood-e-chiraaGh-e-kushta hai
--Ghalib

Posted: Tue Sep 05, 2006 5:17 pm
by PK Swami
achhey hue zamaane ke bemaar saikaRoN
dil vo mareez hai k abhee zer.e ghaur hai !! - Aasee



PK Swami

Posted: Wed Sep 06, 2006 2:41 pm
by Daanish
'dil'
ab bhhagte haiN saaya-e-ishq-e-butaaN se hum
kuchh dil se hai Daray hu'e, kuchh aasmaaN se hum
-Haali

dil

Posted: Sat Sep 09, 2006 3:54 am
by Abdullah Nazir



bhalaa ham saa bhee hei koii, kisi ko chaahne waala
khudaaraa dekhiye dil, aaj bhee bardasht karte heiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Sep 09, 2006 5:16 am
by Daanish
'dil'



jab unko tarz-e-sitam aa gayi tau hosh aaya
bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya
--DaaGh

Posted: Sat Sep 09, 2006 5:28 pm
by PK Swami
kalejaa paK gayaa hai kyaa kahooN iss dil ke haaThoN se
hameshaa kuchh na kuchh iss meiN khayaal.e khaam rahta hai !-
Meer Asar


PK Swami