Page 6 of 18
Posted: Tue Sep 26, 2006 6:28 pm
by zmufti
nazar me.n Dhal ke ubharate hai.n dil ke afasane
ye aur baat hai duniyaa nazar na pahachane
Posted: Tue Sep 26, 2006 9:55 pm
by ummassad
yeh sounch ker main ney chuni hey aakhri aaraamgah
main tha mitti awr mujhey mitti ka gher accha laga.
Posted: Wed Sep 27, 2006 2:11 pm
by zmufti
udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de
Posted: Sat Sep 30, 2006 2:56 am
by Daanish
yeh rashk hai ke woh hota hai hum_suKhan tum se
wagarna Khauf-e-bad_aamozi-e-a'du kya hai
--Ghalib
'ye'
Posted: Sat Sep 30, 2006 3:04 am
by ummassad
ya mujhe afsar.sahaana banaya hota'ya mera taj gadayana banaya hota
apna deewana banaya mujhey hota tuney'kyun khiradmand banaya nh banaya hota.
(alif)
Posted: Sat Oct 07, 2006 5:19 pm
by ummassad
yeh dard ki tanhaiyan yeh dashat ka weeran safar
hum loog tuu ugtagaiye apni suna aawargi.
ye
"ye"
Posted: Fri Oct 27, 2006 8:28 am
by Abdullah Nazir
yuaadaoN kee lambi umr se aankhaoN meiN aansoo aagaye
aakhir kahaaN tak Sabr hou be dast o paa aawaaragi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "ye" )
Nazir.
"ye"
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:25 am
by Abdullah Nazir
yeh aur baat ke gaisoo_e_naaz barham heiN
nizaam-e-Husn wagarnah bikhar nahiN saktaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "alif" )
Nazir.
Posted: Thu Nov 09, 2006 5:24 pm
by Naveed_Ahmad_Naveed
umeed-e-yaar nazr ka mizaaj,dard ka rang
tum aaj kucch bi pucho ke dil udaas bohat hai.
yeh.
"ye"
Posted: Mon Nov 13, 2006 5:05 am
by Abdullah Nazir
yeh aarzoo thee tiri anjuman meiN rahne tak
judaa nah hounge kabhi rooH tan meiN rahne taki.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "kaaf" )
Nazir.
Posted: Fri Nov 17, 2006 1:07 pm
by hassan_bashir
yak-nazar besh nahiiN fursat-e-hastii Ghaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
Posted: Sat Nov 18, 2006 6:24 pm
by hassan_bashir
vahii shaab-e-Gham kaa maNzar, vahii muNtazir nigaaheN,
maiN azal se tak rahaa hooN, tiree vapasii kee raaheN!!
"noon"
Posted: Sun Nov 19, 2006 3:13 am
by Abdullah Nazir
nah wafaay-e-yaar kaa tazkirh nah jafaay-e-yaar kee baat hei
maiN hooN us muqaam per ab jahaaN faqaT intezaar kee baat heii.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "ye" )
Nazir.
"ye"
Posted: Sun Nov 19, 2006 7:56 am
by Abdullah Nazir
yaad uski dasht-e-tanhaayi meiN rehti hei mudaam
kyaa khabar usko keh itni dooriyaaN achchi nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "noon" )
Nazir.
Posted: Sun Nov 19, 2006 11:27 am
by hassan_bashir
na jaane kaun saa jazbaa thaa jisane Khud hii :Nazeer:
merii hii zaat kaa dushman banaa diyaa mujhako