Page 6 of 8

Posted: Mon Jan 22, 2007 10:29 am
by balvinder
piyo sharaab javaano ! ki mausam-e-gul hai
hamein bheeyaad vah ahad-e-shabaab aataa hai

khwaaja ahasan allakha'n ''bayaan''

mai

Posted: Tue Jan 23, 2007 4:38 am
by Abdullah Nazir



Mai-faroushi se tiri inkaar kab hei saaqiyaa

Mere HiSSeh kee magar kiyuN jaam tak pahounchi nahiN.


Shaayer: Abdujllah Nazir.



Nazir.


Posted: Tue Jan 23, 2007 10:12 am
by balvinder
tauba se hamaaree botal achchhee
jab tootee hai, jaam ho gayee hai

''riyaz' khairabadi

sharaab

Posted: Tue Jan 23, 2007 11:10 pm
by Abdullah Nazir



saaqiyaa ham tire kaAbe meiN bhee peete heiN sharaab

yeh alag baat ke behoush nahiN houte heiN


Note: (yahaN sharaab ke maAni sharbat ke liye gaye heiN.)
Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jan 24, 2007 5:41 pm
by hassan_bashir
mere ashk bhii haiN is meiN ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuune vaale teraa haath jal na jaaye

Posted: Thu Feb 08, 2007 9:43 am
by balvinder
peete hain ek jaam mein, zaahid bhee rind bhee
manzar ye maikade ka bhee, kitnaa ajeeb hai

Posted: Fri Feb 09, 2007 9:51 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sharab cheez hee aesee hai nah ch~oRee jae
yeh mere yaar ke jaesee hai nah ch~oRee jae!

Posted: Fri Feb 09, 2007 3:25 pm
by balvinder
jis raah mein ai vaa'iz, sooraj hai ik-ik zarraa
sunte hain vahee rasta maikhaane ko jaaye hai

Posted: Sat Feb 10, 2007 2:25 pm
by balvinder
eid aayee, aa ki saaqee, eid ka saamaa'n karein
din hai qurbaanee ka, ham bhee taubaa ko qurbaa'n karein

akhtar shiraani

Posted: Mon Mar 12, 2007 12:26 pm
by balvinder
ye jaam hii bas piikar, tauba mujhe karnii hai
qurbaan mere saaqii, bhar de meraa paimaanaa

Posted: Wed Apr 04, 2007 4:44 pm
by hassan_bashir
tire karam ki zaroorat hai, peer-e-maiKhaana!
phir aaj hosh meN aane lagaa hai deevaana!

Posted: Fri Apr 13, 2007 10:18 am
by balvinder
too pilaa mujhe thoRhii sii, magar josh-e-tamanna daal kar
too de mujhe qatraa, magar qatre meiN dariyaa daal kar

Posted: Sat Apr 28, 2007 11:38 pm
by ummassad
puraney saagaroun main jub khanak baqhi nahi rehti .
tuu gardish main naiya jam.e. sharaab aaya hi kerta hey.

Posted: Fri Jul 20, 2007 3:16 pm
by balvinder
rah gaye dekhte muNh qaazii-o-vaaiz saare
riNd piite hi rahe aour vo pilaate hi rahe

Posted: Fri Jul 20, 2007 3:22 pm
by balvinder
rah gaye dekhte muNh qaazii-o-vaaiz saare
riNd piite hi rahe aour vo pilaate hi rahe