Page 6 of 65

Posted: Thu Jan 27, 2005 11:49 am
by Ibn-e-siddique
vaah, shummu aap ne mera pasandeeda she'r pesh kiya hai

arz kiya hai:

nahin nahin ye khabar dushmanoN ne di hogi
wo aaye aa ke chale bhi gaye mile bhi nahin


wo / nahin

Posted: Fri Jan 28, 2005 5:34 pm
by Shummu
wah sara je..!


khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum



waqt/hum

Posted: Mon Jan 31, 2005 9:25 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

main apney khawaab aankhon main liye phirtaa hun tariq
meraa chehraa bohat utraa hua hey kuch dinon sey


meraa/ sey

Posted: Thu Feb 03, 2005 4:52 pm
by Shummu
Laakh gham rahe mohabbat mein uthaane honge
Dard ke rishte baher haal nibhaane honge

--Riasat Ali Taj


dard/honge

Posted: Fri Feb 04, 2005 1:26 am
by Hashmat Usmani
dard

dard minnat kash-e-davaa na huaa
maiN na achchhaa huaa, buraa na huaa?


Ghaalib

lafze-e-"maiN" ya lafz-e-"huaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Sat Feb 05, 2005 7:25 pm
by Hashmat Usmani
Saara ji, dusre misr'e ka pahla lafz "sar" hai na ki uskii murakkab soorat...aisa "Khel Ka Qaanoon" hai na, maiN kia karuuN! sorry!

hai

hai bas_ki har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur?


Ghaalib

lafze-e-"karte" ya lafz-e-"aur" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Sun Feb 06, 2005 8:48 am
by Shummu
Aur sone ke pinjre mai jinhaiN gizaa mil jaaye chaaNdi kee..
Umr bhar phir unhaiN aazaadiyaaN achchee nahee lagti.

-ahmad faraz

umr/lagti

Posted: Tue Feb 08, 2005 11:42 am
by Hashmat Usmani
nahiiN

nahiiN ma'loom kis kis kaa lahoo paanii huaa hogaa
qayaamat hai sarishk_aalooda honaa terii miZgaaN kaa?


Ghaalib

lafze-e-"qayaamat" ya lafz-e-"kaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Wed Feb 09, 2005 10:52 am
by fatimah
sara_j wrote:qiyaamat hei balaa hei baam per aate hii chup jaanaa

kahaN DhoondooN tujhe aakhir maiN ab kis se patah poochooN


kahan / poochun

aslaam_u_alikam

kahan aa ker rukney the rastey kahan mor tha ussey bhool jaa
wo jo mil gayaa ussey yaad rakh jo nahin mila ussey bhool ja


wo/ja

Posted: Fri Feb 11, 2005 9:21 am
by Shummu
Kabhi Guncha, Kabhi Shola ,Kabhi Shabnam Kee tarah,
Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Kee tarah


LOG/tarah

Posted: Sat Feb 12, 2005 5:48 am
by Hashmat Usmani
tum

tum se be_jaa hai, mujhe apnii tabaahii kaa gila
is meN kuchh shaaiba-e-Khuubii-e-taqdeer bhii thaa?


Ghaalib

lafze-e-"is" ya lafz-e-"thaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Sat Feb 12, 2005 11:08 am
by Shummu
is saadigee pe kaun na mar jaaye ae khudaa
laRte haiN aur haath meiN talvaar bhi nahiN

laRte/nahiN

Posted: Sat Feb 12, 2005 1:39 pm
by Hashmat Usmani
merii

merii qismat meN Gham gar itnaa thaa
dil bhii, yaa Rabb! kaii diye hote?


Ghaalib

lafze-e-"dil" ya lafz-e-"hote" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Mon Feb 14, 2005 5:34 am
by Ibn-e-siddique
kyuN gardish-e-mudaam se ghabraa na jaaye dil
insaan hooN pyaala-o-saaghar nahiN hooN maiN

insaan / maiN

Posted: Tue Feb 15, 2005 1:02 pm
by Shummu
insaan aur dekhe ba_Ghai'r us ko maan le
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diyaa

ik/diyaa