Page 6 of 43

Posted: Tue Apr 26, 2005 10:24 am
by najma
aaj haalaat baghawat pe haiN shayad maa,il
mutafakkir sa nazar aataa hay peer-e0mahaul
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 5:01 am
by Hashmat Usmani
munsifo! saliiboN par faisale nahiiN hote
be_sabab baGhaavat ke saanaHe nahiiN hote


Zakia "Ghazal"

Posted: Wed Apr 27, 2005 11:00 am
by najma
Hashmat Usmani wrote:munsifo! saliiboN par faisale nahiiN hote
be_sabab baGhaavat ke saanaHe nahiiN hote


Zakia "Ghazal"

mohabbatoN ko saleeboN pe taangne walo!
khuloos ho to mohabbat koee gunaah naheeN
nafis ahmad siddiqui

Posted: Wed Apr 27, 2005 12:53 pm
by khanjee
najma wrote:
Hashmat Usmani wrote:munsifo! saliiboN par faisale nahiiN hote
be_sabab baGhaavat ke saanaHe nahiiN hote


Zakia "Ghazal"

mohabbatoN ko saleeboN pe taangne walo!
khuloos ho to mohabbat koee gunaah naheeN
nafis ahmad siddiqui
AOA,

Mohabat k mazaroon tak chalain ge

Zarra pee lain sitaroon tak chalain ge.


Sohail Abbasi.

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:15 pm
by najma
sitaroN sse aage jahaaN aur bhi haiN
abhi ishq ke imtihaaN aur bhi haiN

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:18 pm
by Hashmat Usmani
aao Huzoor! tumko sitaaroN meN le chaluuN
dil jhoom jaaye, aise nazaaroN meN le chaluuN


Hasrat Jaipurii

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:32 pm
by najma
taab-e-nazzara kise thii, kaun unko dekh,taa
ham to apne hosh ki dunya luTaa kar reh gaey
najma

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:52 pm
by Hashmat Usmani
dil kii yeh aarzoo thii koii dil_rubaa mile
ab tak to jo bhii dost mile, be_vafaa mile


SaaHir Ludhianvii

Posted: Wed Apr 27, 2005 2:25 pm
by najma
wafaa ka naam zamane meiN higaya nayaab
ye acha kaam zamane meiN hogaya nayaab
najma

Posted: Wed Apr 27, 2005 7:30 pm
by najma
is dar se jhatak dete haiN har dast-e-shifa ko
esa na ho is haath meiN khanjar nikal aey
najma

Posted: Wed Apr 27, 2005 8:55 pm
by najma
laaj maqtal meiN yuuN rakhii yaaro!
haath meiN le gaey uThaa ke sir
nafis ahmad siddiqui

Posted: Wed Apr 27, 2005 9:18 pm
by Hashmat Usmani
Hisaar-e-maqtal-e-jaaN meN lahuu_lahuu maiN thaa
rasan_rasan merii vaHshat, guluu_guluu maiN thaa


Aalam Taab "Tashna"

Posted: Wed Apr 27, 2005 10:42 pm
by najma
yehi hay shart, keh ponhcho khalaaoN meiN jis-dam
watan ki khaak se apna mu,aamilah rakhna
najma

Posted: Wed Apr 27, 2005 11:43 pm
by Hashmat Usmani
sarfaroshii kii tamanna, ab hamaare dil emN hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazoo-r-qaatil meN hai


Bismil Allahabadi

Posted: Thu Apr 28, 2005 12:07 am
by najma
thee khabar NAJMA, wo aaeingay yahaN khanjar-ba-kaff
talib-e-shauq-e-shahaadat sir jhukaa kar reh gaey
najma