Page 6 of 6
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:12 am
by najma
Murjha gaye haiN phool to taza rahe haiN ZAKHAM
ye baagh tou khaza'n main bhi WiraaaaN nahi hua...
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:17 am
by Hashmat Usmani
ham ne 'ilaaj-e-zaKhm-e-dil to DhuuNDh liyaa, lekin
gehre zaKhm ko bahaar aane meN waqt to lagtaa hai
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:21 am
by najma
har har qadam pe ji ne diye haiN hazaar zakhm
us fitna-gar ko bhool na jaaoN to kia karooN
najma
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
ai naye dost! maiN samjhuuNgaa tujhe bhii apnaa
pahle maazii kaa koii zaKhm to bhar jaane de
Nazeer Baaqrii
Posted: Fri Apr 15, 2005 2:48 am
by najma
kisi ne poocha agar, zakhm kis ne bakhshe haiN
baRe khuloos se tera pata bataa doonga
Posted: Fri Apr 15, 2005 3:08 am
by Hashmat Usmani
kia bhalaa mujhko paraKhne ka natiijaa niklaa
zaKhm-e-dil aap kii nazaroN se bhii gehraa nikalaa
Muzaffar Waarsii
Posted: Fri Apr 15, 2005 3:32 am
by Hashmat Usmani
barasoN yuuN hii dil_jamii-e-aurang kii Khaatir
sau phuul khilaaye kabhii sau zaKhm Khariide
maiN likhtaa rahaa hijv baGhaavat manshuuN kii
maiN paRhtaa rahaa qasr_nashiinoN ke qasiide
ubhraa bhii agar dil meN koii jazba-e-sar_kash
is Khauf se chup thaa k koii hoNTh na sii de
AHmad Faraaz