Page 6 of 6

Posted: Tue May 10, 2005 2:58 am
by najma
bas apne maqsad-e-hastii pe rakh nazar:khawar:
naheeN khayal kisi ko tira, khayal na kar
khawar qureshi

Posted: Thu May 12, 2005 9:00 am
by najma
badan meN aag sii, chehraa gulaab jaisaaa hay
k zahr-e-Gham kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hay

Posted: Sat May 14, 2005 10:02 pm
by najma
bahar qadam na rakhna tum is andheri shab meiN
pele ye soch lena, mausim hay baarishoN ka
khawar

Posted: Tue Jan 03, 2006 10:11 pm
by ummassad
baat karni mujhe muskil kabhi aesi tu na thi
jesi ab hai teri mahfil kabhi aesi tu na thi

Posted: Fri Jan 13, 2006 2:25 am
by ummassad
BOHAT SHOOR SUNTE THEE PHALU MAIN DILKA
JO CHEERA TUU AK KHATRA-E- KHOON NA NIKLA

Posted: Thu Feb 09, 2006 5:02 pm
by Daanish
Baad marne ke miri qabr pe aaya woh Meer
yaad aayi mire Iisa ko dava mere baad

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:50 am
by ummassad
bade zamane ke baad barsi hyn meri aankhein kisi ki khatir
bade zamane ke baad dil ki zameen phir se hari hui hya

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:09 am
by Daanish
ba qadr-e-zarf hai saaqi khumaar-e-tashnakaami bhi
jo tu dariya-e-mai hai tau maiN khimyaaza huN saahil ka--Ghalib

Posted: Mon Feb 13, 2006 9:07 pm
by ummassad
bhari bazam main raaz ki baat kahdi
bada be adab houn saza cahta houn

"be"

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:05 am
by Abdullah Nazir



bewafaa teraa sitam shaam o seHar yaad aayegaa

dasht-e-ghurbat meiN mujhe jab apnaa ghar yaad aayegaa.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Tue Feb 28, 2006 7:30 am
by ummassad
bazicha.e.atfaal hy duniya mere aage
hota hysubha shaam tamasha mere aage

"be"

Posted: Sat Mar 04, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir



besabab ghaiz o ghaZab hei tiri Aaadat lekin

teri uljhan kabhi minnat kash-e-abroo nah houi.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 7:03 am
by ummassad
banaker fakheeroun ka hum bhees galib
tamasha.eaahale karam dekhte hyn

"be"

Posted: Tue Mar 07, 2006 1:57 pm
by Abdullah Nazir



baAd-e-muddat jo nazar aayaa hei shehr-e-ulfat

souchtaa hooN kisi veeraane ki taSveer nah hou.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.