Page 6 of 8
Posted: Wed Dec 06, 2006 10:27 am
by hassan_bashir
charaaGh-e-ishq jalaane kii raat aaii hai!
kisii ko apnaa banaane kii raat aaii hai!!
shab
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:50 pm
by Abdullah Nazir
kiyuN maah sargiraaN hei anjum heiN muntashir kiyuN
aate heiN mere lab per kitne sawaal her shab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:25 pm
by hassan_bashir
shab tum jo bazm-e-Ghair meiN aaNkheN churaa gaye
khoye gaye ham aise ke aGhyaaaaaaaaaaar paa gaye
Posted: Mon Dec 25, 2006 11:13 am
by balvinder
ghazal ke saaz uthaao barhee udaas hai raat
navaa-e-'meer' sunaao barhee udaas hai raat
raat
Posted: Tue Dec 26, 2006 2:15 am
by Abdullah Nazir
aane waalaa hei koii aayegaa khushyaaN le kar
is tavaqquA peh guzartee hei dil-e-zaar kee raat.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Thu Dec 28, 2006 10:35 am
by balvinder
raat jinho'n ne mahfil ko andaaz sikhaaye jeene ke
khaakistar ko dekhne vaale ! haa'n yah vahee parvaane hain
"raat"
Posted: Sat Jan 06, 2007 6:29 am
by Abdullah Nazir
aankhaoN peh gaisuaoN ke jo baadal bikhar gaye
din per bhee hourahaa hei gumaaN raat kaa mujhe.
Nazir.
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:26 pm
by Zee
gesoo e jaanaan bikhri hai shaane pe saajan ke
raat keh rehi hai kya kuch ruk ruk ke tham tham ke
shab
Posted: Mon Jan 15, 2007 2:50 am
by Abdullah Nazir
[ukhushboo-e-daaman-e-gul be'aasraa jo karde
houjaaye saans lenaa shayad muHaal her shab.[/u]
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:33 am
by hassan_bashir
shab-e-Gham ai mere Allaah basar bhii hogii
raat hii raat rahegii ke sahar bhii hogii????!!
Posted: Wed Jan 17, 2007 5:55 pm
by Saba
Shab e waada keh gai hay shab e gham daraaz rakhnaa
isay main bhi raaz rakhoon isay tum bhi raaz rakhnaa
Posted: Wed Jan 17, 2007 6:00 pm
by Saba
yeh tairi bayrukhi nay dia hay mujhay payaam
misl e charaagh taa ba sahar har shab jalaa karoon
shab
Posted: Thu Jan 18, 2007 5:50 am
by Abdullah Nazir
MaiN shab-e-gham kaa sataayaa houaa tnhaa insaaN
aur wo aek sitaarah hei saHar meiN tanhaa
Shaayher: Abdullah Nazir.
Nazir.
raat
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:52 am
by Abdullah Nazir
kabhee din kaa waAdah kabhee raat kaa
bhalaa kyaa bharousah tiri baat kaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
raat
Posted: Tue Jan 23, 2007 5:08 am
by Abdullah Nazir
mujh se moNh pher liyaa jab se oos aatish rukh ne
din bhee taareek hoiue jaate heiN raataoN kee TaraH.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.