Page 51 of 65
"ab"
Posted: Fri Mar 10, 2006 12:37 am
by Abdullah Nazir
ab aur kyaa hou bayaaN Haal-e-zakhm-e-dil apnaa
bhugat rahaa hooN maiN khamyaazah pyaar karne kaa.
(bhugat / kaa)
Shaayer: Abdullah Nazir.
[color-brown]
Nazir.
[/color]
Posted: Mon Mar 13, 2006 3:22 am
by ummassad
dil ki tanhai ko aawaz banalete hain
dard jab hud se guzeta hy to galete hain
"dard"
Posted: Tue Mar 14, 2006 11:08 am
by Abdullah Nazir
dard o gham ke siwaa kuch bhi rah-e-ulfat meiN nahiN
yeh sabaq mujhko diyaa aek but-e-kaafir ne.
yeh / ne.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Mar 15, 2006 12:11 am
by ummassad
yeh wafa ki sakath raahain aor tumhere paye naazuk
na lo intiqam mujh se mere saath saath chelkee
yeh
"nah"
Posted: Wed Mar 15, 2006 2:29 am
by Abdullah Nazir
nah wafaa hei uska shewah nah jafaa hei meri Aadat
rahaa gaamzan maiN barsouN rah-e-ishq meiN sanbhal ke.
( rahaa / ke )
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Mar 19, 2006 1:21 am
by ummassad
koi mere dil se puchey tere teer.e. neem kash ko
vo khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
"wo"
Posted: Sun Mar 19, 2006 4:31 am
by Abdullah Nazir
wo Darte heiN ke dunyaa kyaa kahegi
magar naalaaN heiN apni an-kahi se.
magar / se
Shaayher: Abdullah Nazir.
Nazir.
"agarche"
Posted: Sat Apr 01, 2006 12:22 pm
by Abdullah Nazir
agarche tum ho miri zindagi kaa sarmaayah
rah-e-wafaa meiN magar rehzanaoN se Dartaa hooN.
(rah-e-wafaa / hooN)
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
chaand
Posted: Sat Apr 08, 2006 8:20 pm
by Abdullah Nazir
chaand ko maiN ne tab pehchaan jab sachchayi kaa din niklaa
jhooTi aas dilaane waale jhooTe heiN begaane heiN.
[/color
chaand
Posted: Sat Apr 08, 2006 8:21 pm
by Abdullah Nazir
chaand ko maiN ne tab pehchaan jab sachchayi kaa din niklaa
jhooTi aas dilaane waale jhooTe heiN begaane heiN.
aadaab!
Posted: Sat Apr 08, 2006 10:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
woh chand jo badal se mujhe dekh raha hai
ya rab mere aaNgan meN utar kiyoN naheN aata.
(shae'er muzaffar).
"wo"
Posted: Sat Apr 15, 2006 2:44 am
by Abdullah Nazir
wo jo barham houe, zalzalah aagayaa
her qadam per qadam Dagmagaane lage.
her / lage
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:07 am
by zmufti
maiN
Posted: Tue Apr 18, 2006 12:59 am
by Abdullah Nazir
MaiN guzarjaa'ooN to shaayad tujhko mil jaaye sukooN
kyaa yehi kaafi nah thaa Nazir tah-e-daam aagayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Apr 22, 2006 12:02 am
by ummassad
aagayaa aain ladayi main agar waqt.e.namaz
qibla ru hoke zameenboos hui qhovm hijaz