Page 52 of 65
"Hijaaz"
Posted: Sat Apr 22, 2006 2:05 am
by Abdullah Nazir
Hijaaz meiN mire ajdaad kaa Thikaanah thaa
magar sunaauN kise apni daastaan-e-wafaa.
magar /wafa
Nazir.
Posted: Sat Apr 22, 2006 8:05 pm
by zmufti
vo naalaa dil me.n Khas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf pa.De aafataab me.n
"jis"
Posted: Sat Apr 22, 2006 11:14 pm
by Abdullah Nazir
jis ne ummeed ke sao baagh dikhaaye thay mujhe
usko bhi yaad nahiN waAdah o paimaaN taubah.
usko / taubah
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Apr 24, 2006 8:05 pm
by zmufti
ab bataao jaayegii zindagii kahaa.N yaaro
phir hai.n barq kii nazare.n suu-e-aashiyaa.N yaaro
"phir"
Posted: Tue Apr 25, 2006 12:06 pm
by Abdullah Nazir
Phir vohi jaur o sitam heiN vohi andaaz-e-jafaa
imtiHaaN lete hou kiyuN Sabr o shikebaayi kaa.
imtiHaaN / kaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"dil"
Posted: Sat Apr 29, 2006 5:38 am
by Abdullah Nazir
dil thaa deewaanah jo teri aarzoo meiN khougayaa
aankh route hei magar waAdah khilaafi per bahut.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Apr 29, 2006 7:18 pm
by zmufti
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
Posted: Mon May 01, 2006 9:59 pm
by ummassad
vo baat sare fasane main jiska ziker na tha
vo baat unko bahut nagawar guzri hey
"ye"
Posted: Tue May 02, 2006 2:50 am
by Abdullah Nazir
Yehi bahaanah kiyaa karte hou hameshah tum
seHar houi hei, shab-e-intizaar guzri hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"ik"
Posted: Tue May 02, 2006 3:35 pm
by Abdullah Nazir
"ik hi zabaan rakhkho to ham ko zabaan do
karti hei roosiyaah qalam ko zabaan do".
Shaayer: Fareedan.
Nazir.
Posted: Wed May 03, 2006 6:53 pm
by zmufti
dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke
"wo"
Posted: Thu May 04, 2006 6:34 pm
by Abdullah Nazir
wo kyaa jaaneN ke meri shaam-e-hijraaN kis TaraH guzri
jinheN Ahd-e-wafaa kaa paas houtaa to chale aate
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu May 04, 2006 7:19 pm
by hira_pari
jinhaiN maiN dhoondtaa tha asmaano maiN zameeno maiN
wo nikle mere zulmat e khaana e dil kay makeeno maiN
"wo"
Posted: Fri May 05, 2006 3:10 am
by Abdullah Nazir
"wo menhdi kaa Aalam wo touRe kaRe
wo paaooN meiN soune ke do do kaRe."
Shaayer: Meer Hasan
Nazir.
"miraa"
Posted: Fri May 05, 2006 3:32 am
by Abdullah Nazir
Miraa vuood he teri hi kaj adaayi se
tire baghair mujhe kab sukoon miltaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.