Page 53 of 65
"mujh"
Posted: Fri May 05, 2006 3:42 am
by Abdullah Nazir
mujh se kyaa pooch rahe ho mire dil ki haalat
hijr meiN aapke bechain rahaa kartaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"sunaane"
Posted: Fri May 05, 2006 3:53 am
by Abdullah Nazir
sunaane ke liye kyaa rehgayaa hei teri meHfil meiN
tiri waAdah khilafi ne miraa dil touR Daalaa hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
kabhi
Posted: Mon May 08, 2006 12:58 pm
by Abdullah Nazir
kabhi hei ZabT-e-gham ki muhr lab per
kabhi hei aazmaayish chashm-e-tar ki.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 10, 2006 10:29 pm
by ummassad
ki mery qhatal ky baad usny jafa se touba
haaye us zood.e.pasheman ka pasheman hona
Posted: Wed May 10, 2006 10:33 pm
by ummassad
kabhi too khul ky baras aber.e. meherban ki terha
mera wajoud hey jelty huye makan ki terha
zabaan
Posted: Thu May 11, 2006 2:28 am
by Abdullah Nazir
zabaaN se meri sunaa us ne naam apnaa jab
to kehdiya mujhe deewaanah hougayaa hooN maiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
use
Posted: Sat May 13, 2006 7:00 pm
by Abdullah Nazir
use khabar hi nahiN kisqadar qareeb hooN maiN
samajh rahaa hei mujhe aek ajnabi ki TaraH
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
charaghaoN
Posted: Mon May 15, 2006 11:45 am
by Abdullah Nazir
chraaghaoN ko jalaanaa raat ,eoM air ja, se latraamaa
Wafaa kaa Dhoung hei lekin wafaa aisi nahiN houti.
Shaayer: Abdulah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 17, 2006 2:40 am
by ummassad
voh shaks khizan rut main bhi mohtaat hey kitna
sookhey huye phooloun ko bikherne nahin deeta
sookhe
Posted: Fri May 19, 2006 4:46 am
by Abdullah Nazir
sookhe houe zakhmaoN ko kuredaa nah karo tum
guzri houi baateN nah mujh yaad dilaaou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 24, 2006 1:11 pm
by hassan_bashir
jab bhii ai dost terii yaad humeN aatii hai
terii tasviir tasavvur maiN ubhar aatii hai
Terii / Hai
"teri"
Posted: Thu May 25, 2006 3:09 am
by Abdullah Nazir
Teri raateN, tiri baateN, tira phir mujh se judaa houjaanaa,
yaad aataa hei jo pardes meiN, roudetaa hooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu May 25, 2006 1:50 pm
by Leo
yaad ker ke aur bhi takleef hoti thi Adeem
ab siway bhool janey ka chara na tha
DhaRkaa
Posted: Thu May 25, 2006 4:15 pm
by Abdullah Nazir
DhaRkaa lagaa houaa thaa dil-e-beqaraar ko
waAdah nibhaake tum ne to masroor kardiya
Shaayer: Abdullah Nazir..
Nazir.
Posted: Fri May 26, 2006 12:31 pm
by Leo